Shayari
meri taqdir mein manzil nahin hai
ghubaar-e-kaarvaan hai aur main huun
aur chal phir le zaraa tan tan ke ai baanke javaan
chaar din ke baa'd phir TeDhi kamar ho jaaegi
اور چل پھر لے ذرا تن تن کے اے بانکے جواں
چار دن کے بعد پھر ٹیڑھی کمر ہو جائے گی
और चल फिर ले ज़रा तन तन के ऐ बाँके जवाँ
चार दिन के बाद फिर टेढ़ी कमर हो जाएगी

meri taqdir mein manzil nahin hai
ghubaar-e-kaarvaan hai aur main huun
dil TuTne se thoDi si taklif to hui
lekin tamaam umr ko aaraam ho gayaa
duniyaa mein vahi shakhs hai taazim ke qaabil
jis shakhs ne haalaat kaa rukh moD diyaa ho
miri namaaz-e-janaaza paDhi hai ghairon ne
mare the jin ke liye vo rahe vazu karte
ye hamin hain ki tiraa dard chhupaa kar dil mein
kaam duniyaa ke ba-dastur kiye jaate hain
log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain