Shayari
meri taqdir mein manzil nahin hai
ghubaar-e-kaarvaan hai aur main huun
chehre kaa nisf hissa zer-e-naqaab kar ke
karte hain husn vaale didaar mein milaavaT
چہرے کا نصف حصہ زیر نقاب کر کے
کرتے ہیں حسن والے دیدار میں ملاوٹ
चेहरे का निस्फ़ हिस्सा ज़ेर-ए-नक़ाब कर के
करते हैं हुस्न वाले दीदार में मिलावट

meri taqdir mein manzil nahin hai
ghubaar-e-kaarvaan hai aur main huun
dil TuTne se thoDi si taklif to hui
lekin tamaam umr ko aaraam ho gayaa
duniyaa mein vahi shakhs hai taazim ke qaabil
jis shakhs ne haalaat kaa rukh moD diyaa ho
miri namaaz-e-janaaza paDhi hai ghairon ne
mare the jin ke liye vo rahe vazu karte
ye hamin hain ki tiraa dard chhupaa kar dil mein
kaam duniyaa ke ba-dastur kiye jaate hain
log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain