Shayari
log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
khat ke purze aae hain qaasid kaa sar tasvir-e-ghair
ye hai bhejaa us sitamgar ne mire khat kaa javaab
خط کے پرزے آئے ہیں قاصد کا سر تصویر غیر
یہ ہے بھیجا اس ستم گر نے مرے خط کا جواب
ख़त के पुर्ज़े आए हैं क़ासिद का सर तस्वीर-ए-ग़ैर
ये है भेजा उस सितमगर ने मिरे ख़त का जवाब

log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
dil TuTne se thoDi si taklif to hui
lekin tamaam umr ko aaraam ho gayaa
duniyaa mein vahi shakhs hai taazim ke qaabil
jis shakhs ne haalaat kaa rukh moD diyaa ho
miri namaaz-e-janaaza paDhi hai ghairon ne
mare the jin ke liye vo rahe vazu karte
ye hamin hain ki tiraa dard chhupaa kar dil mein
kaam duniyaa ke ba-dastur kiye jaate hain
jin ke kirdaar se aati ho sadaaqat ki mahak
un ki tadris se patthar bhi pighal sakte hain