Shayari
log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
jo bahut duur thaa aaj baahon mein hai
jo tasavvur mein thaa vo nigaahon mein hai
جو بہت دور تھا آج باہوں میں ہے
جو تصور میں تھا وہ نگاہوں میں ہے
जो बहुत दूर था आज बाहोँ में है
जो तसव्वुर में था वो निगाहों में है

log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
dil TuTne se thoDi si taklif to hui
lekin tamaam umr ko aaraam ho gayaa
duniyaa mein vahi shakhs hai taazim ke qaabil
jis shakhs ne haalaat kaa rukh moD diyaa ho
miri namaaz-e-janaaza paDhi hai ghairon ne
mare the jin ke liye vo rahe vazu karte
ye hamin hain ki tiraa dard chhupaa kar dil mein
kaam duniyaa ke ba-dastur kiye jaate hain
jin ke kirdaar se aati ho sadaaqat ki mahak
un ki tadris se patthar bhi pighal sakte hain