Shayari
meri taqdir mein manzil nahin hai
ghubaar-e-kaarvaan hai aur main huun
kyaa roz-e-bad mein saath rahe koi ham-nashin
patte bhi bhaagte hain khizaan mein shajar se duur
کیا روز بد میں ساتھ رہے کوئی ہم نشیں
پتے بھی بھاگتے ہیں خزاں میں شجر سے دور
क्या रोज़-ए-बद में साथ रहे कोई हम-नशीं
पत्ते भी भागते हैं ख़िज़ाँ में शजर से दूर

meri taqdir mein manzil nahin hai
ghubaar-e-kaarvaan hai aur main huun
dil TuTne se thoDi si taklif to hui
lekin tamaam umr ko aaraam ho gayaa
duniyaa mein vahi shakhs hai taazim ke qaabil
jis shakhs ne haalaat kaa rukh moD diyaa ho
miri namaaz-e-janaaza paDhi hai ghairon ne
mare the jin ke liye vo rahe vazu karte
ye hamin hain ki tiraa dard chhupaa kar dil mein
kaam duniyaa ke ba-dastur kiye jaate hain
log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain