Shayari
meri taqdir mein manzil nahin hai
ghubaar-e-kaarvaan hai aur main huun
mahfil mein kar rahe hain raqibon ko vo salaam
vaa-laikumussalaam kiye jaa rahaa huun main
محفل میں کر رہے ہیں رقیبوں کو وہ سلام
وعلیکم السلام کیے جا رہا ہوں میں
महफ़िल में कर रहे हैं रक़ीबों को वो सलाम
वा-लैकुमुस्सलाम किए जा रहा हूँ मैं

meri taqdir mein manzil nahin hai
ghubaar-e-kaarvaan hai aur main huun
dil TuTne se thoDi si taklif to hui
lekin tamaam umr ko aaraam ho gayaa
duniyaa mein vahi shakhs hai taazim ke qaabil
jis shakhs ne haalaat kaa rukh moD diyaa ho
miri namaaz-e-janaaza paDhi hai ghairon ne
mare the jin ke liye vo rahe vazu karte
ye hamin hain ki tiraa dard chhupaa kar dil mein
kaam duniyaa ke ba-dastur kiye jaate hain
log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain