Shayari
log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
mamnun huun jahaan ke nasheb-o-faraaz kaa
aksar bigaD ke khud miri haalat sambhal gai
ممنون ہوں جہاں کے نشیب و فراز کا
اکثر بگڑ کے خود مری حالت سنبھل گئی
मम्नून हूँ जहाँ के नशेब-ओ-फ़राज़ का
अक्सर बिगड़ के ख़ुद मिरी हालत सँभल गई

log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
dil TuTne se thoDi si taklif to hui
lekin tamaam umr ko aaraam ho gayaa
duniyaa mein vahi shakhs hai taazim ke qaabil
jis shakhs ne haalaat kaa rukh moD diyaa ho
miri namaaz-e-janaaza paDhi hai ghairon ne
mare the jin ke liye vo rahe vazu karte
ye hamin hain ki tiraa dard chhupaa kar dil mein
kaam duniyaa ke ba-dastur kiye jaate hain
jin ke kirdaar se aati ho sadaaqat ki mahak
un ki tadris se patthar bhi pighal sakte hain