Shayari
log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
nasheman mein hi kaun se sukh mile hain
jo rouun nasheman ko rah kar qafas mein
نشیمن میں ہی کون سے سکھ ملے ہیں
جو روؤں نشیمن کو رہ کر قفس میں
नशेमन में ही कौन से सुख मिले हैं
जो रोऊँ नशेमन को रह कर क़फ़स में

log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
dil TuTne se thoDi si taklif to hui
lekin tamaam umr ko aaraam ho gayaa
duniyaa mein vahi shakhs hai taazim ke qaabil
jis shakhs ne haalaat kaa rukh moD diyaa ho
miri namaaz-e-janaaza paDhi hai ghairon ne
mare the jin ke liye vo rahe vazu karte
ye hamin hain ki tiraa dard chhupaa kar dil mein
kaam duniyaa ke ba-dastur kiye jaate hain
jin ke kirdaar se aati ho sadaaqat ki mahak
un ki tadris se patthar bhi pighal sakte hain