Shayari
log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
rang-e-mahfil dekhne ko hosh mein aae the ham
hosh ab uDne lage hain rang-e-mahfil dekh kar
رنگ محفل دیکھنے کو ہوش میں آئے تھے ہم
ہوش اب اڑنے لگے ہیں رنگ محفل دیکھ کر
रंग-ए-महफ़िल देखने को होश में आए थे हम
होश अब उड़ने लगे हैं रंग-ए-महफ़िल देख कर

log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
dil TuTne se thoDi si taklif to hui
lekin tamaam umr ko aaraam ho gayaa
duniyaa mein vahi shakhs hai taazim ke qaabil
jis shakhs ne haalaat kaa rukh moD diyaa ho
miri namaaz-e-janaaza paDhi hai ghairon ne
mare the jin ke liye vo rahe vazu karte
ye hamin hain ki tiraa dard chhupaa kar dil mein
kaam duniyaa ke ba-dastur kiye jaate hain
jin ke kirdaar se aati ho sadaaqat ki mahak
un ki tadris se patthar bhi pighal sakte hain