Shayari
meri taqdir mein manzil nahin hai
ghubaar-e-kaarvaan hai aur main huun
siyaahi aankh se le kar ye naama tum ko likhtaa huun
ki tum naame ko dekho aur tumhein dekhein miri aankhein
سیاہی آنکھ سے لے کر یہ نامہ تم کو لکھتا ہوں
کہ تم نامہ کو دیکھو اور تمہیں دیکھیں مری آنکھیں
सियाही आँख से ले कर ये नामा तुम को लिखता हूँ
कि तुम नामे को देखो और तुम्हें देखें मिरी आँखें

meri taqdir mein manzil nahin hai
ghubaar-e-kaarvaan hai aur main huun
dil TuTne se thoDi si taklif to hui
lekin tamaam umr ko aaraam ho gayaa
duniyaa mein vahi shakhs hai taazim ke qaabil
jis shakhs ne haalaat kaa rukh moD diyaa ho
miri namaaz-e-janaaza paDhi hai ghairon ne
mare the jin ke liye vo rahe vazu karte
ye hamin hain ki tiraa dard chhupaa kar dil mein
kaam duniyaa ke ba-dastur kiye jaate hain
log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain