Shayari
vo parda-nashini ki riaayat hai tumhaari
ham baat bhi khalvat se nikalne nahin dete
na aae saamne mere agar nahin aataa
mujhe to us ke sivaa kuchh nazar nahin aataa
نہ آئے سامنے میرے اگر نہیں آتا
مجھے تو اس کے سوا کچھ نظر نہیں آتا
न आए सामने मेरे अगर नहीं आता
मुझे तो उस के सिवा कुछ नज़र नहीं आता

vo parda-nashini ki riaayat hai tumhaari
ham baat bhi khalvat se nikalne nahin dete
furqat mein kaar-e-vasl liyaa vaah vaah se
har aah-e-dil ke saath ik armaan nikal gayaa
tere kahne se main ab laaun kahaan se naaseh
sabr jab is dil-e-muztar ko khudaa ne na diyaa
kar diyaa tiron se chhalni mujhe saaraa lekin
khuun hone ke liye us ne jigar chhoD diyaa
khoyaa gham-e-rifaaqat dekho kamaal apnaa
bahkaa diyaa hai sab ko dikhlaa ke haal apnaa
tum apni zulf se puchho miri pareshaani
ki haal us ko hai maalum hu-ba-hu meraa