nikalna khuld se aadam ka sunte aaye hain lekin bahut be-aabru ho kar tere kooche se hum nikle
Sher · Ghazal · Nazm · Rubai
Shayari · page 2
Shers, ghazals, nazms and rubais from the great poets — in Hinglish and Devanagari, with meanings.
- pieces
- 45 pieces
- poets
- 7 poets
- topics
- 29 topics
More shayari
hazaron saal nargis apni be-noori pe roti hai badi mushkil se hota hai chaman mein deeda-war paida
aah ko chahiye ik umr asar hone tak kaun jeeta hai teri zulf ke sar hone tak
ho mera kaam gharibon ki himayat karna dardmandon se zaeefon se mohabbat karna
hum ne maana ki taghaful na karoge lekin khaak ho jayenge hum tum ko khabar hone tak
lab pe aati hai dua ban ke tamanna meri zindagi shama ki soorat ho khudaya meri
ishq par zor nahin, hai ye wo aatish 'Ghalib' ki lagaye na lage aur bujhaye na bane
mazhab nahin sikhata aapas mein bair rakhna Hindi hain hum, watan hai Hindostan hamara
un ke dekhe se jo aa jaati hai munh par raunaq wo samajhte hain ki beemar ka haal achha hai
saare jahan se achha Hindostan hamara hum bulbulen hain is ki, ye gulsitan hamara
dil hi to hai na sang-o-khisht, dard se bhar na aaye kyun roenge hum hazaar baar, koi hamein sataye kyun
hain aur bhi duniya mein sukhanvar bahut achhe kehte hain ki 'Ghalib' ka hai andaaz-e-bayaan aur
maut ka ek din muayyan hai neend kyun raat bhar nahin aati
koi ummeed bar nahin aati koi soorat nazar nahin aati
ragon mein daudte phirne ke hum nahin qayal jab aankh se hi na tapka to phir lahu kya hai
bazicha-e-atfal hai duniya mere aage hota hai shab-o-roz tamasha mere aage
ishq ne 'Ghalib' nikamma kar diya warna hum bhi aadmi the kaam ke
ye na thi hamari qismat ki visal-e-yaar hota agar aur jeete rehte yahi intezaar hota
hum ko maloom hai jannat ki haqeeqat lekin dil ke khush rakhne ko 'Ghalib' ye khayal achha hai
dil-e-nadan tujhe hua kya hai aakhir is dard ki dawa kya hai
hazaron khwahishen aisi ki har khwahish pe dam nikle bahut nikle mere armaan lekin phir bhi kam nikle