Sher
"ujalti nahin ab mujh ko koi tariki sanvarta nahin ab koi hadsa mujh ko"
"bikhar ke TuuT ga.e ham bikharti duniya men khud-afrini ka sauda hamare sar men tha"
بکھر کے ٹوٹ گئے ہم بکھرتی دنیا میں خود آفرینی کا سودا ہمارے سر میں تھا
बिखर के टूट गए हम बिखरती दुनिया में ख़ुद-आफ़रीनी का सौदा हमारे सर में था

"ujalti nahin ab mujh ko koi tariki sanvarta nahin ab koi hadsa mujh ko"
"Dubo.e deta hai khud-agahi ka baar mujhe main Dhalta nashsha huun mauj-e-tarab ubhar mujhe"
"saari shafaq sameT ke suraj chala gaya ab kya raha hai mauj-e-shab-e-tar ke siva"
"kitne subuk-dil hue tujh se bichhaDne ke ba.ad un se bhi milna paDa jin se mohabbat na thi"