Sher
"umiid ka ye rang hai hujum-e-ranj-o-yas men ki jis tarah koi hasin ho matami libas men"
"nasheman phunkne vaale hamari zindagi ye hai kabhi ro.e kabhi sajde kiye khak-e-nasheman par"
نشیمن پھونکنے والے ہماری زندگی یہ ہے کبھی روئے کبھی سجدے کئے خاک نشیمن پر
नशेमन फूँकने वाले हमारी ज़िंदगी ये है कभी रोए कभी सज्दे किए ख़ाक-ए-नशेमन पर

"umiid ka ye rang hai hujum-e-ranj-o-yas men ki jis tarah koi hasin ho matami libas men"
"kyuun ulajhte ho har ik baat pe 'bekhud' un se tum bhi nadan bane jaate ho nadan ke saath"
"hasr ka.aba pe kya hai der sahi haj ka mausam nahin to sair sahi"
"lazzat kabhi thi ab to musibat si ho ga.i mujh ko gunah karne ki aadat si ho ga.i"
"us ke hathon na mila chain mujhi ko dam bhar mujh se le kar dil-e-betab karoge kya tum"
"vahan ab saans lene ki sada aati hai mushkil se jo zindan gunjta rahta tha avaz-e-salasil se"