Sher
"ghairon se kaha tum ne ghairon se suna tum ne kuchh ham se kaha hota kuchh ham se suna hota"
"is tarah kar gaya dil ko mire viran koi na tamanna koi baaqi hai na arman koi"
اس طرح کر گیا دل کو مرے ویراں کوئی نہ تمنا کوئی باقی ہے نہ ارماں کوئی
इस तरह कर गया दिल को मिरे वीराँ कोई न तमन्ना कोई बाक़ी है न अरमाँ कोई

"ghairon se kaha tum ne ghairon se suna tum ne kuchh ham se kaha hota kuchh ham se suna hota"
"ik ishq ka gham aafat aur us pe ye dil aafat ya gham na diya hota ya dil na diya hota"
"ummid to bandh jaati taskin to ho jaati va.ada na vafa karte va.ada to kiya hota"
"raat ki baat ka mazkur hi kya chhoDiye raat ga.i baat ga.i"
"aao husn-e-yar ki baten karen zulf ki rukhsar ki baten karen"
"qubul is bargah men iltija koi nahin hoti ilahi ya mujhi ko iltija karna nahin aata"