Sher
"ghairon se kaha tum ne ghairon se suna tum ne kuchh ham se kaha hota kuchh ham se suna hota"
"ya-rab gham-e-hijran men itna to kiya hota jo haath jigar par hai vo dast-e-dua hota"
یارب غم ہجراں میں اتنا تو کیا ہوتا جو ہاتھ جگر پر ہے وہ دست دعا ہوتا
या-रब ग़म-ए-हिज्राँ में इतना तो किया होता जो हाथ जिगर पर है वो दस्त-ए-दुआ होता

"ghairon se kaha tum ne ghairon se suna tum ne kuchh ham se kaha hota kuchh ham se suna hota"
"ik ishq ka gham aafat aur us pe ye dil aafat ya gham na diya hota ya dil na diya hota"
"ummid to bandh jaati taskin to ho jaati va.ada na vafa karte va.ada to kiya hota"
"raat ki baat ka mazkur hi kya chhoDiye raat ga.i baat ga.i"
"aao husn-e-yar ki baten karen zulf ki rukhsar ki baten karen"
"qubul is bargah men iltija koi nahin hoti ilahi ya mujhi ko iltija karna nahin aata"