Sher
"aankh jhapki thi bas ik lamhe ko aur is ke ba.ad main ne DhunDa hai tujhe zindagi sahra sahra"
"savad-e-hijr men rakkha hua diya huun main tujhe khabar nahin kis aag men jala huun main"
سواد ہجر میں رکھا ہوا دیا ہوں میں تجھے خبر نہیں کس آگ میں جلا ہوں میں
सवाद-ए-हिज्र में रक्खा हुआ दिया हूँ मैं तुझे ख़बर नहीं किस आग में जला हूँ मैं

"aankh jhapki thi bas ik lamhe ko aur is ke ba.ad main ne DhunDa hai tujhe zindagi sahra sahra"
"ik khala, ek la-intiha aur main kitne tanha hain mera khuda aur main"
"ham ne us chehre ko bandha nahin mahtab-misal ham ne mahtab ko us rukh ke mumasil bandha"
"gher leti hai koi zulf, koi bu-e-badan jaan kar koi giraftar nahin hota yaar"
"mohabbat aur ibadat men farq to hai naan so chhin li hai tiri dosti mohabbat ne"
"yahi charagh hai sab kuchh ki dil kahen jis ko agar ye bujh gaya to aadmi bhi parchha.in"