Sher
"main itni raushni phaila chuka huun ki bujh bhi ja.un to ab gham nahin hai"
"ham ko bhi khush-numa nazar aa.i hai zindagi jaise sarab duur se dariya dikha.i de"
ہم کو بھی خوش نما نظر آئی ہے زندگی جیسے سراب دور سے دریا دکھائی دے
हम को भी ख़ुश-नुमा नज़र आई है ज़िंदगी जैसे सराब दूर से दरिया दिखाई दे

"main itni raushni phaila chuka huun ki bujh bhi ja.un to ab gham nahin hai"
"ab hava.en hi karengi raushni ka faisla jis diye men jaan hogi vo diya rah ja.ega"
"jis ke liye bachcha roya tha aur ponchhe the aansu baaba ne vo bachcha ab bhi zinda hai vo mahnga khilauna TuuT gaya"
"har patti bojhal ho ke giri sab shakhen jhuk kar TuuT ga.iin us barish hi se fasl ujDi jis barish se tayyar hui"
"abhi sar ka lahu thamne na paaya udhar se ek patthar aur aaya"
"kare dariya na pul mismar mere abhi kuchh log hain us paar mere"