Shayari
tumhaare hijr mein jab bhi calendar par nigaah Daali
sitambar ke mahine ko sitamgar hi paDhaa main ne
Ateeb Quadri
Ateeb Quadri
poet ·
tumhaare hijr mein jab bhi calendar par nigaah Daali
sitambar ke mahine ko sitamgar hi paDhaa main ne
Ateeb Quadripuchhne vaalon ne puchhaa haath kaise jal gayaa
kaise batlaaein kisi ke dil pe rakkhaa thaa kabhi
Ateeb Quadrihamaare sar pe pech-o-kham kaa ye saafa viraasat hai
ki tum pagDi samajhte ho jise ham taaj kahte hain
Ateeb Quadrijin ki ungli thaam ke chalnaa sikhaa thaa
haae ab un ko buDhaa hote dekhnaa hai
Ateeb Quadrikoi kashti kahin maghrur ho jaae na paani mein
sukut-e-bahr ko qasdan talaatum honaa paDtaa hai
Ateeb Quadriagli naslein kar sakein tafriq-e-duniyaa-o-iram
maaon ke qisson mein bhi shaddaad honaa chaahiye
Ateeb Quadri"jo siine par teri zulfon kaa abr aataa to behtar thaa jilaa-e-qalb hoti dil sanbhal jaataa to behtar thaa kisi lailaa se kam jaanaa nahin tujh ko kabhi ham ne tujhe bhi ham mein koi qais dikh jaataa to behtar thaa nahin paani mayassar to in aankhon ko to dhokaa ho saraab-e-reg se ik pal ko chain aataa to behtar thaa ye kaise dost main ne aastinon mein basaae hain na hotaa in se gar meraa koi naata to behtar thaa vo ik jo gosha-e-dil DhunDhtaa huun main ye dil le ke usi ko DhunDhne mein ye bhi kho jaataa to behtar thaa javaan beTaa ki jis se baap kuchh kahtaa hai Dar Dar ke vo apne baap se thoDaa saa Dar jaataa to behtar thaa siyaasat tere daaman par ye itne daagh kaise hain kisi ke khuun se ye bhi chamak jaataa to behtar thaa"
Ateeb Quadri