Shayari
main apne-aap se kam bhi huun aur ziyaada bhi
vo jaantaa bhi hai mujh ko to jaantaa kyaa hai

Syed Kashif Raza
Syed Kashif Raza
main apne-aap se kam bhi huun aur ziyaada bhi
vo jaantaa bhi hai mujh ko to jaantaa kyaa hai
kabhi kabhi mujhe lagtaa hai vo nahin hai vo
magar kabhi kabhi lagtaa hai vo vahi to nahin
vo jo maqaam hai teraa miri kahaani mein
usi maqaam pe main tere tazkire mein rahun
is qadar ghaur se dekhaa hai saraapaa us kaa
yaad aataa hi nahin ab mujhe chehraa us kaa
us pe bas aise hi ghabraai hui phirti thi
aankh se husn simaTtaa hi nahin thaa us kaa