Shayari
qaatil to siina taan ke chalte rahe yahaan
jo be-gunah the un se havaalaat bhar gae

Yusuf Jamal
Yusuf Jamal
qaatil to siina taan ke chalte rahe yahaan
jo be-gunah the un se havaalaat bhar gae
vaqt ki mahrumiyon ne chhin li meri zabaan
varna ik muddat talak main laa-javaabon mein rahaa
puchhe jo zindagi ki haqiqat koi 'jamaal'
to chuTkiyon mein ret uDaa kar use dikhaa
jab main kachchaa phal thaa to mahfuz thaa main
ab jo pakaa to mujh pe nishaana lagtaa hai
baunaa thaa vo zarur magar is ke baavajud
kirdaar ke lihaaz se qad kaa buland thaa
DhunDte ho kyuun jali tahrir ke asbaaq mein
main to kohre ki tarah dhundle nisaabon mein rahaa