Quote
"vo aankhein kyaa jinhein aayaa na ronaa dilon ki maut hai gham kaa na honaa ghamon ki aanch had se baDh chuki hai baDi mushkil hai miThi niind sonaa zamaane bhar kaa gham apnaa liyaa hai qayaamat ho gayaa hassaas honaa"
M
Mohammad Ali Taj"aaj dil soch rahaa hai jaise mai har ik gham ki davaa hai jaise jaan hatheli pe liye phirte hain ik yahi shart-e-vafaa hai jaise kahin moti kahin taare kahin phuul dahr teri hi qabaa hai jaise dasht-e-ghurbat mein tiraa naama-e-shauq haath mein phuul khilaa hai jaise is tarah chup hain tiraa gham le kar ye bhi qismat kaa likhaa hai jaise"
آج دل سوچ رہا ہے جیسے مے ہر اک غم کی دوا ہے جیسے جاں ہتھیلی پہ لیے پھرتے ہیں اک یہی شرط وفا ہے جیسے کہیں موتی کہیں تارے کہیں پھول دہر تیری ہی قبا ہے جیسے دشت غربت میں ترا نامۂ شوق ہاتھ میں پھول کھلا ہے جیسے اس طرح چپ ہیں ترا غم لے کر یہ بھی قسمت کا لکھا ہے جیسے
आज दिल सोच रहा है जैसे मय हर इक ग़म की दवा है जैसे जाँ हथेली पे लिए फिरते हैं इक यही शर्त-ए-वफ़ा है जैसे कहीं मोती कहीं तारे कहीं फूल दहर तेरी ही क़बा है जैसे दश्त-ए-ग़ुर्बत में तिरा नामा-ए-शौक़ हाथ में फूल खिला है जैसे इस तरह चुप हैं तिरा ग़म ले कर ये भी क़िस्मत का लिखा है जैसे
"vo aankhein kyaa jinhein aayaa na ronaa dilon ki maut hai gham kaa na honaa ghamon ki aanch had se baDh chuki hai baDi mushkil hai miThi niind sonaa zamaane bhar kaa gham apnaa liyaa hai qayaamat ho gayaa hassaas honaa"
"bahut dinon se nazar mein hai yaar ki surat gham-e-zamaana se lekin faraar ki surat nazar to aae kahin se bahaar ki surat nikaaliye to koi e'tibaar ki surat khulaa huaa hai dar-e-mai-kadaa dilon ki tarah mahak rahi hai fazaa zulf-e-yaar ki surat hazaar marhala-e-zist saamne aae badal badal ke tamanna-e-yaar ki surat"
"charaagh-e-raah bane sham-e-anjuman na rahe khudaa kare ki miraa fan bhi meraa fan na rahe dilon ke phuul tabassum ke phuul pyaar ke phuul khilein ye phuul to phir barq kaa chalan na rahe nigaah bhar ke mujhe dekh jaam bhar ke pilaa miri jabin pe gham-e-dahr ki shikan na rahe tumhaare qabza-e-qudrat mein mehr-o-maah sahi magar ye kyaa ki mire paas ik kiran na rahe"
"vahi rahaa dil-e-gham-ghin kisi se kuchh na huaa sitam ye hai ki tiri dosti se kuchh na huaa tamaam naghmagi-o-shaairi se kuchh na huaa vo raat hai ki miri raushni se kuchh na huaa tiri nigaah ki jaadugari ko dekh liyaa tiri nigaah ki jaadugari se kuchh na huaa chalo ki aaj sitaaron ki sair kar aaein koi ye kah na sake aadmi se kuchh na huaa"
"yaad-e-gesu-o-qad-e-yaar liye phirte hain ham kahin hon rasan-e-daar liye phirte hain ham hain vo chaak-garebaan jo zamaane ke liye shauq-e-pairaahan-e-zar-taar liye phirte hain muddatein ho gaiin us daaman-e-rangin se chhuTe aaj tak dida-e-khun-baar liye phirte hain sharm ai zom-e-masihaai ki ab bhi laakhon jism-e-bimaar-o-dil-e-zaar liye phirte hain"
"dil ki baatein kisi hasin se kahein par kahein bhi to kis yaqin se kahein barf si jam rahi hai honTon par kis ke rukhsaar-e-aatishin se kahein har jagah hai to is fasaane mein to jahaan se kahe vahin se kahein ham to samjhaa ke haar baiThe hain aap hi kuchh dil-e-hazin se kahein aansoon ki kahaaniyaan ai 'taaj' kab tak apni hi aastin se kahein"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"