SHAWORDS

ab apne aap ko hairat se dekhtaa huun main — Khalish Rifai

HomeKhalish RifaiGhazal
"ab apne aap ko hairat se dekhtaa huun main vo meraa aks hai yaa us kaa aaina huun main ye kis maqaam pe apne ko paa rahaa huun main kahin pukaar na uTThun ki ab khudaa huun main miri navaa se hai raushan charaagh-e-dair-o-haram abad kaa soz huun main saaz-e-ibtidaa huun main na sang-e-mil na manzil na kaarvaan na ghubaar vufur-e-shauq mein had se guzar gayaa huun main na ab hijaab hai baaqi na qaid-e-rasm-e-hijaab ye kis maqaam pe apne ko paa rahaa huun main mujhi se ghaib kaa aalam mujhi se husn-e-shuhud 'khalish' majaaz-o-haqiqat kaa aaina huun main"
Urdu

اب اپنے آپ کو حیرت سے دیکھتا ہوں میں وہ میرا عکس ہے یا اس کا آئنہ ہوں میں یہ کس مقام پہ اپنے کو پا رہا ہوں میں کہیں پکار نہ اٹھوں کہ اب خدا ہوں میں مری نوا سے ہے روشن چراغ دیر و حرم ابد کا سوز ہوں میں ساز ابتدا ہوں میں نہ سنگ میل نہ منزل نہ کارواں نہ غبار وفور شوق میں حد سے گزر گیا ہوں میں نہ اب حجاب ہے باقی نہ قید رسم حجاب یہ کس مقام پہ اپنے کو پا رہا ہوں میں مجھی سے غیب کا عالم مجھی سے حسن شہود خلشؔ مجاز و حقیقت کا آئنہ ہوں میں

Hindi

अब अपने आप को हैरत से देखता हूँ मैं वो मेरा अक्स है या उस का आइना हूँ मैं ये किस मक़ाम पे अपने को पा रहा हूँ मैं कहीं पुकार न उठ्ठूँ कि अब ख़ुदा हूँ मैं मिरी नवा से है रौशन चराग़-ए-दैर-ओ-हरम अबद का सोज़ हूँ मैं साज़-ए-इब्तिदा हूँ मैं न संग-ए-मील न मंज़िल न कारवाँ न ग़ुबार वुफ़ूर-ए-शौक़ में हद से गुज़र गया हूँ मैं न अब हिजाब है बाक़ी न क़ैद-ए-रस्म-ए-हिजाब ये किस मक़ाम पे अपने को पा रहा हूँ मैं मुझी से ग़ैब का आलम मुझी से हुस्न-ए-शुहूद 'ख़लिश' मजाज़-ओ-हक़ीक़त का आइना हूँ मैं

ab apne aap ko hairat se dekhtā huuñ maiñ
Khalish Rifai
Khalish Rifai
Khalish Rifai
poet5 quotes

More by Khalish Rifai

View all →
Quote
"jis se zamaana silsila-e-khvaab le gayaa main dil ki anjuman mein vo mahtaab le gayaa ilzaam-e-be-khudi hamein manzur hai magar ye to bataao kaun mai-e-naab le gayaa jis se zamaana-saazon ke chehre utar gae vo hausle kahaan dil-e-betaab le gayaa main aagahi ke zahr se labrez jaam thaa ik dast-e-ishtiyaaq mujhe daab le gayaa ashkon ko rok khud hi na gharqaab ho kahin mizhgaan ko khol shahr ko sailaab le gayaa mere liye vajud ki chaadar ko chhoD kar vo kaun hai jo resham-o-kam-khvaab le gayaa madhosh jis se saaraa zamaana huaa 'khalish' saaqi kahaan vo saaghar-e-naayaab le gayaa"
Khalish RifaiKhalish Rifai
Quote
"ye kaun shama ki surat jalaa rahaa hai mujhe ye kis ke hijr kaa mausam rulaa rahaa hai mujhe nazar kaa faasla kuchh der darmiyaan rahaa phir is ke baad na apnaa pataa rahaa hai mujhe tu hi hai chashm-e-basirat ke saamne maujud khayaal ab na kisi husn kaa rahaa hai mujhe mujhe hai ilm ki kyaa sirr-e-laa-ilaaha hai main khush huun daar kaa manzar bulaa rahaa hai mujhe miraa vajud hi meri nazar kaa dhokaa hai jalaa ke kaun ye khud ko miTaa rahaa hai mujhe main dekhtaa huun har ik samt husn-e-zaat 'khalish' har aaina tiri surat dikhaa rahaa hai mujhe"
Khalish RifaiKhalish Rifai
Quote
"tum ne haathon pe miraa naam likhaa mere baa'd meraa har lafz banaa rang-e-hinaa mere baa'd mere hone hi se thaa us pe yaqin-e-kaamil kitnaa be-faiz saa hai meraa khudaa mere baa'd kaun maikhaane ki tahzib se vaaqif the yahaan sab ko aa jaaegi piine ki adaa mere baad main jo mahrum-e-karam dar se tire lauTaa huun haath ab uThte nahin bahr-e-duaa mere baa'd mere hote jise kahte hue khaaif the sabhi zindagi ne vahi afsaana kahaa mere baa'd sarkhushi raas na aai jise hamraah mire jaam-e-gham pi ke vo shaadaab huaa mere baa'd aaj bhi khushk hai kaanTon ki zabaan khaak-e-chaman bhejnaa phir se koi aabla-paa mere baad koi aahaT hai na sargoshi na aavaaz koi kitnaa tanhaa hai ye sahraa-e-vafaa mere baad main hi thaa jo tiri tausif kiyaa kartaa thaa ab 'khalish' kaun kare teri sanaa mere baa'd"
Khalish RifaiKhalish Rifai