Quote
"shauq ke daftar dilon mein rah gae garche aashiq daastaanein kah gae dil mein khud un ke bhi chubh kar rah gae vo nazar ke tiir jo ham sah gae mehrbaani aap ki yaadash-ba-khair vaqt ki maujon mein aalam bah gae thaa tiri nazron mein vo jaadu ki ham jo na kahnaa chaahte the kah gae thi junun-aamez apni guftugu baat matlab ki bhi lekin kah gae nazaa tak dil us ko dohraayaa kiyaa ik tabassum mein vo kyaa kuchh kah gae aaj vo mahfil mein 'maikash' ki tarah kuchh na bole aur sab kuchh kah gae"
