Quote
"kahin pe mantiq kahin dalaael zarur honge rah-e-junun mein savaal haail zarur honge thakan ke aalam mein kaun bistar ko chhoDtaa hai vo jaa rahaa hai to kuchh masaail zarur honge tum apni zid par DaTe hue ho to phir yaqin hai tumhaare daaman mein kuchh dalaael zarur honge abhi to umr-e-ravaan ki pahli bahaar mein hain abhi to khushbu ki or maail zarur honge tumhaaraa lahja tumhaare lafzon se mukhtalif hai tumhaare lahje se log ghaayal zarur honge"
