SHAWORDS

ai sitam-gar sitam ki baat nahin — Dr. Rahi

HomeDr. RahiGhazal
"ai sitam-gar sitam ki baat nahin kam se kam aaj gham ki baat nahin subh-e-nau kaa hai zikr mahfil mein ab yahaan shaam-e-gham ki baat nahin saari duniyaa hai mehrbaan to kyaa un ke lutf-o-karam ki baat nahin tazkira hai vafaa ki manzil kaa raah ke pech-o-kham ki baat nahin munhasir hai amal to niyyat par sirf qaul-o-qasam ki baat nahin zikr shisha-garon kaa hai 'raahi' pattharon ke sanam ki baat nahin"
Urdu

اے ستم گر ستم کی بات نہیں کم سے کم آج غم کی بات نہیں صبح نو کا ہے ذکر محفل میں اب یہاں شام غم کی بات نہیں ساری دنیا ہے مہربان تو کیا ان کے لطف و کرم کی بات نہیں تذکرہ ہے وفا کی منزل کا راہ کے پیچ و خم کی بات نہیں منحصر ہے عمل تو نیت پر صرف قول و قسم کی بات نہیں ذکر شیشہ گروں کا ہے راہیؔ پتھروں کے صنم کی بات نہیں

Hindi

ऐ सितम-गर सितम की बात नहीं कम से कम आज ग़म की बात नहीं सुब्ह-ए-नौ का है ज़िक्र महफ़िल में अब यहाँ शाम-ए-ग़म की बात नहीं सारी दुनिया है मेहरबान तो क्या उन के लुत्फ़-ओ-करम की बात नहीं तज़्किरा है वफ़ा की मंज़िल का राह के पेच-ओ-ख़म की बात नहीं मुनहसिर है अमल तो निय्यत पर सिर्फ़ क़ौल-ओ-क़सम की बात नहीं ज़िक्र शीशा-गरों का है 'राही' पत्थरों के सनम की बात नहीं

ai sitam-gar sitam kī baat nahīñ
Dr. Rahi
Dr. Rahi
Dr. Rahi
poet15 quotes

More by Dr. Rahi

View all →
Quote
"kahaa hai kis ne jahaan mein khudaa nahin miltaa khulus shart hai DhunDo to kyaa nahin miltaa har ek jism ki takhliq ek jaisi hai har ek chehre se kyon dusraa nahin miltaa kuchh aise moD bhi aae vafaa ki raahon mein jahaan se aage khud apnaa pataa nahin miltaa har ik jafaa hai tumhaari har ik jafaa se alag tumhaare jaisaa koi baa-vafaa nahin miltaa main phir rahaa huun jabin mein sameT kar sajde magar kahin bhi tiraa naqsh-e-paa nahin miltaa vahi hai gaanv vahi main vahi hai pagDanDi bas ik kami hai tiraa naqsh-e-paa nahin miltaa vafaa kaa shauq mubaarak vafaa karo lekin rahe khayaal vafaa kaa sila nahin miltaa tumhaaraa aks hai mahfuz jis mein sadiyon se na jaane kyon vahi ik aaina nahin miltaa ham aa ke gaanv se pachhtaae shahr mein 'raahi' yahaan kisi kaa bhi asli pata nahin miltaa"
Dr. RahiDr. Rahi
Quote
"tere baghair zindagi kyaa zindagi miyaan ek ek lamha hai mujhe ek ik sadi miyaan hairat se dekhtaa hai mujhe har koi miyaan jaise main apne shahr mein huun ajnabi miyaan har baat mein hai talkhi-o-afsurdagi miyaan hai mustaqil azaab miri zindagi miyaan kahne ko yuun to sab nazar aate hain aadmi mushkil se bhi milaa na koi aadmi miyaan jurat agar hai tujh mein to aa khul ke saamne parde mein dosti ke na kar dushmani miyaan main ne to us kaa saath diyaa hai tamaam umr kyon meraa saath chhoD gai zindagi miyaan 'raahi' ko jab khushi ki zarurat nahin rahi nikli hai DhunDhti hui us ko khushi miyaan"
Dr. RahiDr. Rahi
Quote
"divaar-o-dar ke vaaste manzar na laaiye baahar ke rahne vaale ko andar na laaiye patthar se mere sar ke hain rishte hazaar-haa ab aap sar ke vaaste patthar na laaiye insaan lag rahaa hai ik aaseb ki tarah aaseb kyaa hai is ko zabaan par na laaiye phulon se kheliyegaa agar phuul se hain haath Dho Dho ke mere vaaste patthar na laaiye manzur hai qiyaam jo patthar ke shahr mein shishe kaa apne saath koi ghar na laaiye 'raahi' ye aasmaan hi achchhaa hai saaebaan ab mere ghar ke vaaste chhappar na laaiye"
Dr. RahiDr. Rahi
Quote
"nahin makaan na sahi sar pe aasmaan to hai zamin pe hai dar-o-divaar saaebaan to hai hazaar mujh pe ghamon ke pahaaD TuuT paDein mujhe bachaane tiri yaad ki chaTaan to hai nahin khudaai mein koi bhi mehrbaan na sahi khudaai jis ki hai vo mujh pe mehrbaan to hai nahin hai mujh ko koi daavaa-e-zabaan-daani yahi bahut hai ki urdu miri zabaan to hai mujhi pe aaj sitam hain bajaa-e-lutf-o-karam khushi hai ye mujhe ik rabt darmiyaan to hai karein hazaar buraai vo ghair ki 'raahi' magar zamaane ko kyaa kiije bad-gumaan to hai"
Dr. RahiDr. Rahi
Quote
"na raas aaya tasavvur mein qurbatein rakhnaa kisi ke naam se be-vajh nisbatein rakhnaa jahaan bhi aap pe ilzaam aane vaalaa ho miri qasam hai vahaan mujh pe tohmatein rakhnaa rivaayaton se baghaavat ke baad mushkil hai guzishta daur ki qaaem rivaayatein rakhnaa mujh aise khvaab mein jin ki nahin koi taabir tum aise khvaabon ki dil mein na hasratein rakhnaa vo be-naqaab huaa hai na hone vaalaa hai abas hai diid ki aankhon mein hasratein rakhnaa khulus-e-dil se milo har kisi se ai 'raahi' tumhaaraa kaam nahin hai riqaabatein rakhnaa"
Dr. RahiDr. Rahi
Quote
"manzil nahin hai paas to kyaa rahguzar to hai is dasht-e-zindagi mein ghubaar-e-safar to hai duniyaa agar nazar bhi phiraa le to gham nahin meri nazar ke saath tumhaari nazar to hai vo mujh se duur duur sahi be-khabar nahin maanaa guhar nahin magar aab-e-guhar to hai jab chaaheinge rihaai dilaa deinge vo kahin qaid un ki zulf hi mein hamaari sahar to hai jiinaa hi jab hai ham ko to hans ke jiyeinge ham daulat nahin hai haath mein lekin hunar to hai 'raahi' mujhe siyaahi-e-shab kyaa Daraaegi pahlu mein qalb ban ke naqib-e-sahar to hai"
Dr. RahiDr. Rahi