Quote
"kise khabar hai main dil se ki jaan se guzrungaa jo baar baar saf-e-dushmanaan se guzrungaa yaqin bhi tujhe aaegaa meri hasti par yahi nahin ki main tere gumaan se guzrungaa har ek shai miri jaanib hi multafit hogi main tere saath agar shahr-e-jaan se guzrungaa andheri raat kaa mujh ko zaraa bhi khauf nahin kai charaagh jaleinge jahaan se guzrungaa zamin zaad huun 'saifi' zamin pe rahnaa hai na kahkashaan na kisi aasmaan se guzrungaa"
