Quote
"qalam pe us ke nahin hai ab e'tibaar mujhe miTaa chukaa hai vo likh likh ke baar-baar mujhe agar main zakhm huun to mujh ko darmiyaan mein rakh agar main tiir huun to kar le aar-paar mujhe use pukaar rahaa thaa main apni aankhon se palaT ke dekh to letaa vo ek baar mujhe nashe ko jis kaa nasha ho vo aankh aisi hai nasha jis aankh se kahtaa hai mat utaar mujhe ye phuul taaza raheinge tiri rifaaqat ke tiraa khayaal rakhegaa sadaa-bahaar mujhe rafu ki koshishein mujh ko udheD deti hain sanbhal ke yaar na kar denaa taar taar mujhe davaa zaruri nahin kaam bhi kare 'azhar' khushi to kar ke gai aur sogvaar mujhe"
