SHAWORDS

darpai-e-umr-e-rafta huun yaarab — Jurat Qalandar Bakhsh

"darpai-e-umr-e-rafta huun yaarab har-dam az-khud guzishta huun yaarab kyaa huun maqbul-e-tab-e-ahl-e-sukhan ek mazmun-e-basta huun yaarab kyaa dikhaaun main apne jauhar aah shakl-e-tegh-e-shikasta huun yaarab apni kam-fursati kahun kyaa aah! aah az-sina jasta huun yaarab paani paani huun jis ko dekh jahim soz-e-gham se vo tafta huun yaarab dekho kyaa ho ki vaan hai naaz-e-ghurur main ye ahvaal-e-khasta huun yaarab"
Urdu

درپئے عمر رفتہ ہوں یا رب ہر دم از خود گزشتہ ہوں یا رب کیا ہوں مقبول طبع اہل سخن ایک مضمون بستہ ہوں یا رب کیا دکھاؤں میں اپنے جوہر آہ شکل تیغ شکستہ ہوں یا رب اپنی کم فرصتی کہوں کیا آہ! آہ از سینہ جستہ ہوں یا رب پانی پانی ہوں جس کو دیکھ جحیم سوز غم سے وہ تفتہ ہوں یا رب دیکھو کیا ہو کہ واں ہے ناز غرور میں یہ احوال خستہ ہوں یا رب

Hindi

दरपय-ए-उम्र-ए-रफ़्ता हूँ यारब हर-दम अज़-ख़ुद गुज़िश्ता हूँ यारब क्या हूँ मक़्बूल-ए-तब्-ए-अहल-ए-सुख़न एक मज़मून-ए-बस्ता हूँ यारब क्या दिखाऊँ मैं अपने जौहर आह शक्ल-ए-तेग़-ए-शिकस्ता हूँ यारब अपनी कम-फ़ुर्सती कहूँ क्या आह! आह अज़-सीना जस्ता हूँ यारब पानी पानी हूँ जिस को देख जहीम सोज़-ए-ग़म से वो तफ़्ता हूँ यारब देखो क्या हो कि वाँ है नाज़-ए-ग़ुरूर मैं ये अहवाल-ए-ख़स्ता हूँ यारब

darpai-e-umr-e-rafta huuñ yārab
Jurat Qalandar Bakhsh
Jurat Qalandar Bakhsh
Jurat Qalandar Bakhsh
poet206 quotes

More by Jurat Qalandar Bakhsh

View all →
Quote
"parvaa nahin us ko aur mue ham kyuun aise pe mubtalaa hue ham go piise hi Daale juun hinaa vo par chhoDein na paanv bin chhue ham mizhgaan-e-daraaz us ki kar yaad siine pe gaDote hain sue ham rone se makaan-e-khaana bole bas laakh jagah se ab chue ham ik baazi-e-ishq se hain aari khele hain vagarna sab jue ham khubaan ko bin us ke dekhein kyaa khaak maaTi ke samajhte hain thue ham dam aankhon mein aa rahaa hai, lo jaan jald aao vagarna ab mue ham uTh jaane se us ke 'jurat' ai vaae maalum nahin ki kyaa hue ham"
Jurat Qalandar BakhshJurat Qalandar Bakhsh
Quote
"na garmi rakhe koi us se khudaayaa sharaarat se ji jis ne meraa jalaayaa na bechain ho koi ab us ki khaatir miraa chaahnaa jo na khaatir mein laayaa baham dekh do shakhs ho vo bhi muztar akelaa main jis ke liye tilmilaayaa phire justuju mein na ab koi us ki mujhe jis ne galiyon mein barson phiraayaa na bhule se yaad ab kare koi us ko miraa yaad karnaa bhi jis ne bhulaayaa na khush ho ab us paas baiThe se koi hamein kar ke aazurda jis ne uThaayaa kharidaar paidaa na ho koi us kaa ki dil bech kar ham ne dukh jis se paayaa tahayyur ho dekh aaina us ko jis ne hamein kar ke hairaan na mukhDaa dikhaayaa lage laag us se kisi ki na yaa-rab hamaari lagi ko na jis ne bujhaayaa kahun daastaan main gar apni aur us ki to hairaan ho sun ke apnaa paraayaa ki pahle ki izhaar khud us ne ulfat na aayaa to sau baar ghar se bulaayaa jataain vo baatein jinhein sehr kahiye dikhaayaa vo aalam ki vahshi banaayaa rakhi be-takalluf mulaaqaat chande ba-mannat mujhe paas pahron biThaayaa kisi kaa na ik harf khaatir mein guzraa use garche logon ne kyaa kyaa paDhaayaa so ab vo jhalak tak dikhaataa nahin hai gayaa main jo ghar se to dar tak na aayaa lagaavaT ye kuchh kar ke phir kyaa ghazab hai miraa lag gayaa dil to parda lagaayaa ba-taghir-e-bahr aur 'jurat' ghazal kah ki ye turfa mazmun tu ne sunaayaa"
Jurat Qalandar BakhshJurat Qalandar Bakhsh
Quote
"ham kab az-khud tire ghar yaar chale aate hain rah nahin sakte to naa-chaar chale aate hain le khabar us ki shitaabi se ki aashiq ko tire ghash pe ghash shokh sitamgaar chale aate hain main to hairaan huun matab hai ki dar-e-yaar hai ye yaan to bimaar pe bimaar chale aate hain ghar mein ghabraate hain be-yaar to ham vahshi se sar-barahna sar-e-baazaar chale aate hain khaDe rah sakte nahin dar pe to hairaan se vaan baiTh kar ham pas-e-divaar chale aate hain kis ke naalon ki ye aandhi hai ki shakl-e-par-e-kaah aaj uDte hue kohsaar chale aate hain"
Jurat Qalandar BakhshJurat Qalandar Bakhsh
Quote
"main kahaa ek adaa kar to lagaa kahne ''un-hun'' dekh Tuk aankh churaa kar to lagaa kahne ''un-hun'' sab se hanstaa thaa vo kal, ro ke jo main bol uThaa ham se bhi Tuk tu hansaa kar to lagaa kahne ''un-hun'' main kahaa dil ko main le jaaun to bolaa vo ki ''hun'' le chalaa jab main uThaa kar to lagaa kahne ''un-hun'' main kahaa sabr o dil o diin ne vafaa ham se na ki be-vafaa tu to vafaa kar to lagaa kahne ''un-hun'' main kahaa jaam-e-mai piite ho to bolaa vo ki ''hun'' jab kahaa laaun chhupaa kar to lagaa kahne ''un-hun'' main kahaa sohbat-e-aghyaar bari hai pyaare un se itnaa na milaa kar to lagaa kahne ''un-hun'' main kahaa ishq ko izhaar karun bolaa ''hun'' jab kahaa kahtaa huun jaa kar to lagaa kahne ''un-hun'' main kahaa samjhe hai aazaar miraa bolaa ''hun'' jab kahaa kuchh to davaa kar to lagaa kahne ''un-hun'' main kahaa ab tiri duuri se hai 'jurat' be-taab kuchh to kah paas balaa kar to lagaa kahne ''un-hun''"
Jurat Qalandar BakhshJurat Qalandar Bakhsh
Quote
"tasavvur baandhte hain us kaa jab vahshat ke maare ham to phir karte hain aap hi aap kyaa kyaa kuchh ishaare ham kahe hai yuun dil-e-muztar se us bin jaan-e-gham-dida chalo tum rafta rafta aate hain pichhe tumhaare ham kai baar us ne dekhaa aaj chashm-e-qahr se ham ko sazaa-vaar-e-uqubat to hue ai bakht baare ham na maani dil ne apni aur na ham ne baat naaseh ki hamein kah kah ke haaraa vo use kah ke haare ham vo jab aaina dekhe hai to kyaa kyaa muskuraataa hai samajh kar ye ki yaani hain qayaamat pyaare pyaare ham milaa lutf-e-sukhan kyaa khaak ham ko us ki mahfil mein ki chup baiThe rahe juun naqsh-e-divaar ik kinaare ham hue hain chaahne vaale tumhaare saikDon paidaa ye sach hai ji ki kis ginti mein hain yaan ab bichaare ham kisi mahvash ke gham ne kar diyaa naa-taaqat aisaa hi ki chhuTte dekhte hain aksar aankhon aage taare ham uThaa kar aankh to tum dekh lo yaan koi dekhe hai zaraa qurbaan hone do hamein sadqe tumhaare ham karein kyaa aah aur kis se kahein ham apni bechaini kahin chain ab tire haathon nahin paate hain pyaare ham qaraar ik jaa nazar aataa nahin hai be-qaraari mein gul-e-baazi ki surat phirte hain bas maare maare ham hamein kyaa khatra-e-jaan hai ki ham hain naam ko 'jurat' na hon phir kyuun ki maidaan-e-mohabbat mein utaare ham"
Jurat Qalandar BakhshJurat Qalandar Bakhsh