SHAWORDS

dhuup jami hai raston par — Mehwar Noori

HomeMehwar NooriGhazal
"dhuup jami hai raston par chalte hain angaaron par ab ke rakkhaa sahraa ne ret kaa marham chhaalon par phuul ki qurbat mil jaae niind aa jaae kaanTon par phuul samajh kar baiTh gai titli tere honTon par ab koi bhi mausam ho barf jami hai rishton par"
Urdu

دھوپ جمی ہے رستوں پر چلتے ہیں انگاروں پر اب کے رکھا صحرا نے ریت کا مرہم چھالوں پر پھول کی قربت مل جائے نیند آ جائے کانٹوں پر پھول سمجھ کر بیٹھ گئی تتلی تیرے ہونٹوں پر اب کوئی بھی موسم ہو برف جمی ہے رشتوں پر

Hindi

धूप जमी है रस्तों पर चलते हैं अंगारों पर अब के रक्खा सहरा ने रेत का मरहम छालों पर फूल की क़ुर्बत मिल जाए नींद आ जाए काँटों पर फूल समझ कर बैठ गई तितली तेरे होंटों पर अब कोई भी मौसम हो बर्फ़ जमी है रिश्तों पर

dhuup jamī hai rastoñ par
Mehwar Noori
Mehwar Noori
Mehwar Noori
poet17 quotes

More by Mehwar Noori

View all →
Quote
"katraa ke guzartaa hai to dekhaa nahin jaataa basti mein gharibon ki ujaalaa nahin jaataa daulat se kahaan juDte hain TuuTe hue rishte shishe ko kabhi gond se joDaa nahin jaataa is jhuuT ke baazaar mein sach DhunDne vaale sukhe hue kapDe ko nichoDaa nahin jaataa pariyon ki hasin baanhon mein vo jhuul rahaa hai sote hue bachche ko jhinjhoDaa nahin jaataa ye chaand sitaare bhi hain suraj bhi hai raushan phailaa hai jo duniyaa mein andheraa nahin jaataa sohbat mein buron ki vo rahaa kartaa hai 'mahvar' is baat pe beTe ko nikaalaa nahin jaataa"
Mehwar NooriMehwar Noori
Quote
"yaas-o-gham ranj-o-alam tanhaaiyaan ab ke baras meri qismat mein rahein naakaamiyaan ab ke baras raushni suraj ki aankhon par hai manzar dhuup hain lag rahi hain suratein parchhaaiyaan ab ke baras aaine mein dekh kar khud ko na tum honaa udaas aainon mein paD gaiin hain jhaaiyaan ab ke baras dekhnaa hogaa sitam ye bhi zabaan-bandi ke baa'd kaaT li jaaeingi sab ki ungliyaan ab ke baras khushk-saali to nahin hai shahr mein 'mahvar' magar abr kab barsaaeinge allaah-miyaan ab ke baras"
Mehwar NooriMehwar Noori