SHAWORDS

tu baahon mein dekhaa khvaab — Mehwar Noori

HomeMehwar NooriGhazal
"tu baahon mein dekhaa khvaab sasti aankhein mahngaa khvaab dariyaa dariyaa teraa khvaab ret pe utraa Duubaa khvaab tum ko apnaa dekhaa hai meri marzi meraa khvaab koThi kaarein naukar sab ho saktaa hai ulTaa khvaab mailaa mailaa guzraa din jab bhi dekhaa ujlaa khvaab"
Urdu

تو باہوں میں دیکھا خواب سستی آنکھیں مہنگا خواب دریا دریا تیرا خواب ریت پہ اترا ڈوبا خواب تم کو اپنا دیکھا ہے میری مرضی میرا خواب کوٹھی کاریں نوکر سب ہو سکتا ہے الٹا خواب میلا میلا گزرا دن جب بھی دیکھا اجلا خواب

Hindi

तू बाहोँ में देखा ख़्वाब सस्ती आँखें महँगा ख़्वाब दरिया दरिया तेरा ख़्वाब रेत पे उतरा डूबा ख़्वाब तुम को अपना देखा है मेरी मर्ज़ी मेरा ख़्वाब कोठी कारें नौकर सब हो सकता है उल्टा ख़्वाब मैला मैला गुज़रा दिन जब भी देखा उजला ख़्वाब

tū bāhoñ meñ dekhā ḳhvāb
Mehwar Noori
Mehwar Noori
Mehwar Noori
poet17 quotes

More by Mehwar Noori

View all →
Quote
"katraa ke guzartaa hai to dekhaa nahin jaataa basti mein gharibon ki ujaalaa nahin jaataa daulat se kahaan juDte hain TuuTe hue rishte shishe ko kabhi gond se joDaa nahin jaataa is jhuuT ke baazaar mein sach DhunDne vaale sukhe hue kapDe ko nichoDaa nahin jaataa pariyon ki hasin baanhon mein vo jhuul rahaa hai sote hue bachche ko jhinjhoDaa nahin jaataa ye chaand sitaare bhi hain suraj bhi hai raushan phailaa hai jo duniyaa mein andheraa nahin jaataa sohbat mein buron ki vo rahaa kartaa hai 'mahvar' is baat pe beTe ko nikaalaa nahin jaataa"
Mehwar NooriMehwar Noori
Quote
"yaas-o-gham ranj-o-alam tanhaaiyaan ab ke baras meri qismat mein rahein naakaamiyaan ab ke baras raushni suraj ki aankhon par hai manzar dhuup hain lag rahi hain suratein parchhaaiyaan ab ke baras aaine mein dekh kar khud ko na tum honaa udaas aainon mein paD gaiin hain jhaaiyaan ab ke baras dekhnaa hogaa sitam ye bhi zabaan-bandi ke baa'd kaaT li jaaeingi sab ki ungliyaan ab ke baras khushk-saali to nahin hai shahr mein 'mahvar' magar abr kab barsaaeinge allaah-miyaan ab ke baras"
Mehwar NooriMehwar Noori