SHAWORDS

havaa ke dosh pe rakh kar uDaa diye gae ham — Altamash Abbas

HomeAltamash AbbasGhazal
"havaa ke dosh pe rakh kar uDaa diye gae ham numud-e-subh se pahle bujhaa diye gae ham hamaaraa rizq-e-muqarrar hamein pahunchnaa thaa azaan-e-fajr se pahle jagaa diye gae ham hamein ye zo'm thaa duniyaa hamein na bhulegi so yaad aane se pahle bhulaa diye gae ham liyaa jo god mein beTe ko ye huaa mahsus hamaare haathon mein jaise thamaa diye gae ham vo jis zamin pe chalte the ham takabbur se usi ke niche phir ik din sulaa diye gae ham vatan pe jaan ganvaane kaa ye milaa inaam kisi saDak ke kinaare sajaa diye gae ham khilaaf-e-zulm kiyaa ehtijaaj jab ham ne to 'altamash' sar-e-neza chaDhaa diye gae ham"
Urdu

ہوا کے دوش پہ رکھ کر اڑا دئے گئے ہم نمود صبح سے پہلے بجھا دئے گئے ہم ہمارا رزق مقرر ہمیں پہنچنا تھا اذان فجر سے پہلے جگا دیئے گئے ہم ہمیں یہ زعم تھا دنیا ہمیں نہ بھولے گی سو یاد آنے سے پہلے بھلا دئے گئے ہم لیا جو گود میں بیٹے کو یہ ہوا محسوس ہمارے ہاتھوں میں جیسے تھما دئے گئے ہم وہ جس زمین پہ چلتے تھے ہم تکبر سے اسی کے نیچے پھر اک دن سلا دئے گئے ہم وطن پہ جان گنوانے کا یہ ملا انعام کسی سڑک کے کنارے سجا دئے گئے ہم خلاف ظلم کیا احتجاج جب ہم نے تو التمشؔ سر نیزہ چڑھا دئے گئے ہم

Hindi

हवा के दोष पे रख कर उड़ा दिए गए हम नुमूद-ए-सुब्ह से पहले बुझा दिए गए हम हमारा रिज़्क़-ए-मुक़र्रर हमें पहुँचना था अज़ान-ए-फ़ज्र से पहले जगा दिए गए हम हमें ये ज़ो'म था दुनिया हमें न भूलेगी सो याद आने से पहले भुला दिए गए हम लिया जो गोद में बेटे को ये हुआ महसूस हमारे हाथों में जैसे थमा दिए गए हम वो जिस ज़मीन पे चलते थे हम तकब्बुर से उसी के नीचे फिर इक दिन सुला दिए गए हम वतन पे जान गँवाने का ये मिला इनआ'म किसी सड़क के किनारे सजा दिए गए हम ख़िलाफ़-ए-ज़ुल्म किया एहतिजाज जब हम ने तो 'अल्तमश' सर-ए-नेज़ा चढ़ा दिए गए हम

havā ke dosh pe rakh kar uḌā diye ga.e ham
Altamash Abbas
Altamash Abbas
Altamash Abbas
poet24 quotes

More by Altamash Abbas

View all →
Quote
"hijr taari hai magar hashr bapaa chaahtaa huun main tujhe jaan nahin jaan se sivaa chaahtaa huun aap kahte hain zamaane ki tarah jiine ko main to marnaa bhi zamaane se judaa chaahtaa huun ek misraa mujhe mubham nahin achchhaa lagtaa main har ik sher kaa mazmun khulaa chaahtaa huun shukriya apni inaayat ko uThaa kar rakkhein khuub daulat hai mire paas duaa chaahtaa huun thoDaa thoDaa main kahaan tak rahun ho kar sab kaa ab kisi ek ke siine se lagaa chaahtaa huun daad paane ki tavaqqo nahin rahti mujh ko haan magar sher tavajjoh se sunaa chaahtaa huun"
Altamash AbbasAltamash Abbas
Quote
"sukun-e-qalb hai mujh par haraam vajd mein huun bhulaa chukaa huun khud apnaa bhi naam vajd mein huun main ho chukaa huun rumuz-e-hayaat se vaaqif ab apne kaam se rakhtaa huun kaam vajd mein huun mohabbaton mein bahut kharch kar chukaa khud ko huun jis qadar bhi main baaqi tamaam vajd mein huun talaash-e-zaat mein gum ho gai hai meri nazar nahin kisi se duaa-o-salaam vajd mein huun nahin hai apni khabar kyaa kisi ki fikr karun safir-e-ishq huun main subh-o-shaam vajd mein huun bahut tavil hai meraa safar magar phir bhi thakaa nahin huun main har ek gaam vajd mein huun"
Altamash AbbasAltamash Abbas
Quote
"qadam-qadam pe paraayaa dimaagh hote hain ye puure log adhuraa dimaagh hote hain kisi ki fikr pe labbaik ham nahin kahte ham apne haq mein khud apnaa dimaagh hote hain javaan-umr mein Darte hain jo baghaavat se nae saron mein puraanaa dimaagh hote hain jo pahle-pahl andheraa dikhaai dete hon vo baad baad ujaalaa dimaagh hote hain bahut se log to pairon se sar ke baalon tak ba-shakl-e-jism saraapaa dimaagh hote hain amir-e-shahr ki qurbat mein baiThne vaale baraae-naam hi apnaa dimaagh hote hain kisi ki aankhon se duniyaa ko dekhne vaale kisi ki fikr kisi kaa dimaagh hote hain"
Altamash AbbasAltamash Abbas
Quote
"ubhar ke aaya thaa shab hote hi hunar meraa phir intizaar hi karti rahi sahar meraa main roz tapte hue dasht se guzartaa huun main roz kahtaa huun aaegaa ham-safar meraa zamin pe hote hue bhi main aasmaan pe thaa jab us ki god mein rakkhaa huaa thaa sar meraa kabhi zabaan se vo izhaar to na kar paayaa khayaal dil mein basaa kar jiye magar meraa tumhaare baad bhi toDe bahut se dil main ne tumhaare baad bhi jaari rahaa safar meraa baDe sukun se rahti hai mujh mein khaamoshi bhale hi chikhtaa rahtaa ho saaraa ghar meraa"
Altamash AbbasAltamash Abbas
Quote
"koi na aaegaa thak jaaoge sadaa kar ke tum apne ghar mein muqaffal ho dar khulaa kar ke us ek raat ki qimat adaa nahin hogi tamaam-umr bhi guzre jo ratjagaa kar ke sivaae tirgi kuchh bhi nazar na aaegaa tu mujh se dekh to khud ko kabhi judaa kar ke tumhaari aankhon mein behtar dikhaai deinge ham tum apne aap ko dekho to aaina kar ke vo kis tarah tujhe apne qarib aane de jo apne aap se miltaa ho faasla kar ke junun mein bhi hamein taqdis kaa khayaal rahaa huzur-e-ishq se lauTe to iltijaa kar ke"
Altamash AbbasAltamash Abbas
Quote
"baarish-e-sang hai us paar kahaan jaataa hai ai mire aaina-kirdaar kahaan jaataa hai main samajhtaa thaa vo jaate hue rokegaa mujhe aur puchhegaa mire yaar kahaan jaataa hai main chalaa jaataa huun duniyaa ki taraf majburan mere andar kaa ye fankaar kahaan jaataa hai main ne khud pheink ke talvaar kahaa dushman se chhoD kar apni ye dastaar kahaan jaataa hai jab koi dast-e-talab baDhtaa hai meri jaanib dil tiraa jazba-e-inkaar kahaan jaataa hai tujh se behtar hain kai log miri nazron mein tu abhi jaanib-e-pindaar kahaan jaataa hai"
Altamash AbbasAltamash Abbas

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari