SHAWORDS

havaa ke vaaste ik kaam chhoD aayaa huun — Ejaz Rahmani

HomeEjaz RahmaniGhazal
"havaa ke vaaste ik kaam chhoD aayaa huun diyaa jalaa ke sar-e-shaam chhoD aayaa huun kabhi nasib ho fursat to us ko paDh lenaa vo ek khat jo tire naam chhoD aayaa huun havaa-e-dasht-o-bayaabaan bhi mujh se barham hai main apne ghar ke dar-o-baam chhoD aayaa huun koi charaagh sar-e-rahguzar nahin na sahi main naqsh-e-paa ko bahar-gaam chhoD aayaa huun abhi to aur bahut us pe tabsire honge main guftugu mein jo ibhaam chhoD aayaa huun ye kam nahin hai vazaahat miri asiri ki paron ke rang tah-e-daam chhoD aayaa huun vahaan se ek qadam bhi na jaa saki aage jahaan pe gardish-e-ayyaam chhoD aayaa huun mujhe jo DhunDhnaa chaahe vo DhunDh le 'ejaaz' ki ab main kucha-e-gum-naam chhoD aayaa huun"
Urdu

ہوا کے واسطے اک کام چھوڑ آیا ہوں دیا جلا کے سر شام چھوڑ آیا ہوں کبھی نصیب ہو فرصت تو اس کو پڑھ لینا وہ ایک خط جو ترے نام چھوڑ آیا ہوں ہوائے دشت و بیاباں بھی مجھ سے برہم ہے میں اپنے گھر کے در و بام چھوڑ آیا ہوں کوئی چراغ سر رہ گزر نہیں نہ سہی میں نقش پا کو بہر گام چھوڑ آیا ہوں ابھی تو اور بہت اس پہ تبصرے ہوں گے میں گفتگو میں جو ابہام چھوڑ آیا ہوں یہ کم نہیں ہے وضاحت مری اسیری کی پروں کے رنگ تہہ دام چھوڑ آیا ہوں وہاں سے ایک قدم بھی نہ جا سکی آگے جہاں پہ گردش ایام چھوڑ آیا ہوں مجھے جو ڈھونڈھنا چاہے وہ ڈھونڈھ لے اعجازؔ کہ اب میں کوچۂ گمنام چھوڑ آیا ہوں

Hindi

हवा के वास्ते इक काम छोड़ आया हूँ दिया जला के सर-ए-शाम छोड़ आया हूँ कभी नसीब हो फ़ुर्सत तो उस को पढ़ लेना वो एक ख़त जो तिरे नाम छोड़ आया हूँ हवा-ए-दश्त-ओ-बयाँबाँ भी मुझ से बरहम है मैं अपने घर के दर-ओ-बाम छोड़ आया हूँ कोई चराग़ सर-ए-रहगुज़र नहीं न सही मैं नक़्श-ए-पा को बहर-गाम छोड़ आया हूँ अभी तो और बहुत उस पे तब्सिरे होंगे मैं गुफ़्तुगू में जो इबहाम छोड़ आया हूँ ये कम नहीं है वज़ाहत मिरी असीरी की परों के रंग तह-ए-दाम छोड़ आया हूँ वहाँ से एक क़दम भी न जा सकी आगे जहाँ पे गर्दिश-ए-अय्याम छोड़ आया हूँ मुझे जो ढूँढना चाहे वो ढूँढ ले 'एजाज़' कि अब मैं कूचा-ए-गुमनाम छोड़ आया हूँ

havā ke vāste ik kaam chhoḌ aayā huuñ
Ejaz Rahmani
Ejaz Rahmani
Ejaz Rahmani
poet20 quotes

More by Ejaz Rahmani

View all →
Quote
"vaqt kaa daaman tang hai lekin meraa daaman tang nahin dhuup ke Dar se jo uD jaae rang vo meraa rang nahin bedaari kaa 'aalam mujh ko khvaab kaa mausam lagtaa hai hairat hai aaj un haathon mein aaina hai sang nahin bahne vaalaa saDkon par ye kis kaa lahu hai meraa hai main to apnaa qaatil khud huun ghair se meri jang nahin chikh uTheinge saare parbat tesha koi laae to aisaa kaun saa patthar hai jis patthar mein aahang nahin jab tak us ke qurb ki khushbu haasil thi main zinda thaa vo jo nahin to yuun lagtaa hai koi bhi mere sang nahin pahle apne qad ko dekhein phir mujh par tanqid karein un kaa zikr bhi kyon karte ho jo mere paasang nahin honTon par kuchh lafz shikasta jumle bhi be-rabt 'e'jaaz' dil ki baat sunaaun kaise kahne kaa bhi Dhang nahin"
Ejaz RahmaniEjaz Rahmani
Quote
"raahbar so gae ham-safar so gae kaun jaagegaa ham bhi agar so gae gesu-e-vaqt ab kaun suljhaaegaa be-khabar jaag uThe baa-khabar so gae is haqiqat se inkaar mumkin nahin so gai qaum jab dida-var so gae miT gayaa dil se kyaa khauf-e-daar-o-rasan log phulon pe kyaa soch kar so gae apni barbaadiyaan apne haathon huiin jaagnaa thaa hamein ham magar so gae be-gharon ko takalluf se kyaa vaasta niind aai sar-e-rahguzar so gae vo gae ghar ki raa'naaiyaan bhi gaiin yuun lagaa jaise divaar-o-dar so gae"
Ejaz RahmaniEjaz Rahmani
Quote
"miT gayaa gham tire takallum se lab hue aashnaa tabassum se kis ke naqsh-e-qadam hain raahon mein jagmagaate hain maah-o-anjum se hai zamaana baDaa zamaana-shanaas kabhi mujh se gilaa kabhi tum se naakhudaa bhi milaa to aisaa milaa aashnaa jo nahin talaatum se us ne aa kar mizaaj puchh liyaa ham to baiThe hue the gum-sum se naakhudaa ne Dubo diyaa un ko vo ki jo bach gae talaatum se zindagi haadson ki zad mein hai koi kaise bache tasaadum se saaya-e-gul mein baiThne vaalo guftugu hogi daar par tum se main ghazal kaa asiir huun 'ejaaz' sher paDhtaa huun main tarannum se"
Ejaz RahmaniEjaz Rahmani
Quote
"saae mein aablon ki jalan aur baDh gai thak kar jo baiThe ham to thakan aur baDh gai kal is qadar thaa habs hamaare makaan mein sanki havaa zaraa to ghuTan aur baDh gai kaanTon ki guftugu se khalish dil mein kam na thi phulon ke tazkire se chubhan aur baDh gai ye baaghbaan hamaare lahu kaa kamaal hai nairangi-e-bahaar-e-chaman aur baDh gai ye hijr ki hai aag mizaaj us kaa aur hai ashkon se shoalagi-e-badan aur baDh gai sairaab kar sakaa na use meraa khuun bhi kuchh tishnagi-e-daar-o-rasan aur baDh gai harf-e-sipaas pesh kiyaa jab bhi vo milaa lekin jabin pe us ki shikan aur baDh gai tahrir ki jo ek ghazal us ke naam par 'ejaaz' aabru-e-sukhan aur baDh gai"
Ejaz RahmaniEjaz Rahmani
Quote
"naqsh-bar-aab ho gayaa huun main kitnaa kamyaab ho gayaa huun main jhurriyaan kah rahi hain chehre ki khushk taalaab ho gayaa huun main kyaa karungaa main ab khushi le kar gham se sairaab ho gayaa huun main yaad rakhtaa nahin mujhe koi arsa-e-khvaab ho gayaa huun main is qadar baar-e-gham uThaayaa hai jhuk ke mehraab ho gayaa huun main ik masihaa ki mehrbaani se jaam-e-zahraab ho gayaa huun main khushk aansu hue hain jis din se dasht-e-be-aab ho gayaa huun main hai ye ehsaan jabr-e-duniyaa kaa sakht aasaab ho gayaa huun main us ne jis din se chhu liyaa mujh ko rashk-e-mahtaab ho gayaa huun main khud hi 'ejaaz' apnaa dushman huun sirf ahbaab ho gayaa huun main"
Ejaz RahmaniEjaz Rahmani
Quote
"rang mausam ke saath laae hain ye parinde kahaan se aae hain baiTh jaate hain raah-rau thak kar kitne himmat-shikan ye saae hain dhuup apni zamin hai apni peD apne nahin paraae hain apne ahbaab ki khushi ke liye bilaa-iraada bhi muskuraae hain dushmanon ko qarib se dekhaa doston ke fareb khaae hain ham ne toDaa hai zulmaton kaa fusun raushni ke bhi tiir khaae hain dekh le muD ke mahv-e-aaraaish aaina ban ke ham bhi aae hain pai-ba-pai raah ki shikaston ne hausle aur bhi baDhaae hain zindagi hai usi kaa naam 'e'jaaz' hain vo apne jo gham paraae hain"
Ejaz RahmaniEjaz Rahmani