Quote
"ham chal diye to raaste hamvaar ho gae aur ruk gae to saaya-e-divaar ho gae ab kyaa piyein sharaab ki saaqi ba-qadr-e-zarf tujh se nazar milaa ke gunahgaar ho gae daur-e-khizaan mein jin ko thaa divaangi kaa shauq fasl-e-bahaar aate hi hoshiyaar ho gae ahl-e-zamin ko dekh ke kuchh saakinaan-e-arsh hairaan hue to naqsh-ba-divaar ho gae taa-umr sochte hi rahe ham ki zindagi hai kyaa azaab jis mein giraftaar ho gae aavaaz di thi maut ko ye kaun aa gayaa ham phir se zindagi ke talabgaar ho gae 'nashtar' khayaal-e-gesu-e-jaanaan liye hue aai kuchh aisi niind ki bedaar ho gae"
S
Shakeel Nashtar