SHAWORDS

jaane kis kis kaa khayaal aayaa hai — Dushyant Kumar

HomeDushyant KumarGhazal
"jaane kis kis kaa khayaal aayaa hai is samundar mein ubaal aayaa hai ek bachcha thaa havaa kaa jhonkaa saaf paani ko khangaal aayaa hai ek Dhelaa to vahin aTkaa thaa ek tu aur uchhaal aayaa hai kal to niklaa thaa bahut saj-dhaj ke aaj lauTaa to niDhaal aayaa hai ye nazar hai ki koi mausam hai ye sabaa hai ki vabaal aayaa hai ham ne sochaa thaa javaab aaegaa ek behuda savaal aayaa hai"
Urdu

جانے کس کس کا خیال آیا ہے اس سمندر میں ابال آیا ہے ایک بچہ تھا ہوا کا جھونکا صاف پانی کو کھنگال آیا ہے ایک ڈھیلا تو وہیں اٹکا تھا ایک تو اور اچھال آیا ہے کل تو نکلا تھا بہت سج دھج کے آج لوٹا تو نڈھال آیا ہے یہ نظر ہے کہ کوئی موسم ہے یہ صبا ہے کہ وبال آیا ہے ہم نے سوچا تھا جواب آئے گا ایک بیہودہ سوال آیا ہے

Hindi

जाने किस किस का ख़याल आया है इस समुंदर में उबाल आया है एक बच्चा था हवा का झोंका साफ़ पानी को खँगाल आया है एक ढेला तो वहीं अटका था एक तू और उछाल आया है कल तो निकला था बहुत सज-धज के आज लौटा तो निढाल आया है ये नज़र है कि कोई मौसम है ये सबा है कि वबाल आया है हम ने सोचा था जवाब आएगा एक बेहूदा सवाल आया है

jaane kis kis kā ḳhayāl aayā hai
Dushyant Kumar
Dushyant Kumar
Dushyant Kumar
poet39 quotes

More by Dushyant Kumar

View all →
Quote
"pak gai hain aadatein baaton se sar hongi nahin koi hangaama karo aise guzar hogi nahin in ThiThurti ungliyon ko is lapaT par seink lo dhuup ab ghar ki kisi divaar par hogi nahin buund Tapki thi magar vo bundon baarish aur hai aisi baarish ki kabhi un ko khabar hogi nahin aaj meraa saath do vaise mujhe maalum hai pattharon mein chikh hargiz kaargar hogi nahin aap ke TukDon ke TukDe kar diye jaaeinge par aap ki taazim mein koi kasar hogi nahin sirf shaair dekhtaa hai qahqahon ki asliyat har kisi ke paas to aisi nazar hogi nahin"
Dushyant KumarDushyant Kumar
Quote
"agar khudaa na kare sach ye khvaab ho jaae tiri sahar ho miraa aaftaab ho jaae huzur aariz-o-rukhsaar kyaa tamaam badan miri suno to mujassam gulaab ho jaae uThaa ke pheink do khiDki se saaghar-o-minaa ye tishnagi jo tumhein dastiyaab ho jaae vo baat kitni bhali hai jo aap karte hain suno to siine ki dhaDkan rabaab ho jaae bahut qarib na aao yaqin nahin hogaa ye aarzu bhi agar kaamyaab ho jaae ghalat kahun to miri aaqibat bigaDti hai jo sach kahun to khudi be-naqaab ho jaae"
Dushyant KumarDushyant Kumar