SHAWORDS

ye shafaq shaam ho rahi hai ab — Dushyant Kumar

HomeDushyant KumarGhazal
"ye shafaq shaam ho rahi hai ab aur har gaam ho rahi hai ab jis tabaahi se log bachte the vo sar-e-aam ho rahi hai ab azmat-e-mulk is siyaasat ke haath nilaam ho rahi hai ab shab ghanimat thi log kahte hain subh badnaam ho rahi hai ab jo kiran thi kisi dariche ki markaz-e-baam ho rahi hai ab tishna-lab teri phusphusaahaT bhi ek paighaam ho rahi hai ab"
Urdu

یہ شفق شام ہو رہی ہے اب اور ہر گام ہو رہی ہے اب جس تباہی سے لوگ بچتے تھے وہ سر عام ہو رہی ہے اب عظمت ملک اس سیاست کے ہاتھ نیلام ہو رہی ہے اب شب غنیمت تھی لوگ کہتے ہیں صبح بدنام ہو رہی ہے اب جو کرن تھی کسی دریچے کی مرکز بام ہو رہی ہے اب تشنہ لب تیری پھسپھساہٹ بھی ایک پیغام ہو رہی ہے اب

Hindi

ये शफ़क़ शाम हो रही है अब और हर गाम हो रही है अब जिस तबाही से लोग बचते थे वो सर-ए-आम हो रही है अब अज़मत-ए-मुल्क इस सियासत के हाथ नीलाम हो रही है अब शब ग़नीमत थी लोग कहते हैं सुब्ह बदनाम हो रही है अब जो किरन थी किसी दरीचे की मरक़ज-ए-बाम हो रही है अब तिश्ना-लब तेरी फुसफुसाहट भी एक पैग़ाम हो रही है अब

ye shafaq shaam ho rahī hai ab
Dushyant Kumar
Dushyant Kumar
Dushyant Kumar
poet39 quotes

More by Dushyant Kumar

View all →
Quote
"pak gai hain aadatein baaton se sar hongi nahin koi hangaama karo aise guzar hogi nahin in ThiThurti ungliyon ko is lapaT par seink lo dhuup ab ghar ki kisi divaar par hogi nahin buund Tapki thi magar vo bundon baarish aur hai aisi baarish ki kabhi un ko khabar hogi nahin aaj meraa saath do vaise mujhe maalum hai pattharon mein chikh hargiz kaargar hogi nahin aap ke TukDon ke TukDe kar diye jaaeinge par aap ki taazim mein koi kasar hogi nahin sirf shaair dekhtaa hai qahqahon ki asliyat har kisi ke paas to aisi nazar hogi nahin"
Dushyant KumarDushyant Kumar
Quote
"agar khudaa na kare sach ye khvaab ho jaae tiri sahar ho miraa aaftaab ho jaae huzur aariz-o-rukhsaar kyaa tamaam badan miri suno to mujassam gulaab ho jaae uThaa ke pheink do khiDki se saaghar-o-minaa ye tishnagi jo tumhein dastiyaab ho jaae vo baat kitni bhali hai jo aap karte hain suno to siine ki dhaDkan rabaab ho jaae bahut qarib na aao yaqin nahin hogaa ye aarzu bhi agar kaamyaab ho jaae ghalat kahun to miri aaqibat bigaDti hai jo sach kahun to khudi be-naqaab ho jaae"
Dushyant KumarDushyant Kumar