Quote
"vo jo bolein to baat jaati hai chup rahun main to raat jaati hai saath huron ke hai shahid tiraa kyaa adam ko baraat jaati hai mai ke piine se kar to luun tauba aarzu-e-najaat jaati hai dil-lagi kaa maza jab aataa hai hasti-e-be-sabaat jaati hai khuub aataa hai lutf-e-aazaadi jab ye qaid-e-hayaat jaati hai kyaa karun 'daagh' vasl mein shikva baat kahne mein raat jaati hai"
