"main ye chaahun main uljhi huun tu bhi uljhe paas mire aae aur aa kar baiThe soche tanhaa tanhaa dard sameTe phirti huun main hamdardi ki kaisi sazaa hai koi dekhe ab sochun to khuun ke aansu dil rotaa hai kitni hansti rahti thi main barson pahle koi hogaa meraa apnaa dil kahtaa hai bachche ki kilkaari ko man meraa tarse ek muddat se dil ki tamanna ye kahti hai god mein meri aae aa kar koi khele jaane kab aaegaa us se khelne vaalaa saare khilaune saje sajaae ghar mein rakhe jaane aisi baat hui kyaa soch rahi huun mahfil mein hain tikhe tikhe sab ke lahje"
kaali raat ke raushan jugnu ham donon — Asma Riyaz Asma
"kaali raat ke raushan jugnu ham donon din ke ujle badan ki khushbu ham donon madhur raag phailaa kar har su ham donon sar par chaDh kar boltaa jaadu ham donon khud bhi mahkein auron ko bhi mahkaaein aise dasht-e-khutan ke aahu ham donon duniyaa bhar mein jog jagaane ki khaatir dar dar bhaTkein ban kar saadhu ham donon dard bhare jo dil rakhte hain un ke liye pyaar bhari aankhon kaa aansu ham donon jis kaa ji chaahe vo khud ko mahkaa le shaakh-e-hinaa ke phuul ki khushbu ham donon kyon na rahein 'asmaa' ji yuun aazaadi se priit ke bandhan baandh ke bandhu ham donon"
کالی رات کے روشن جگنو ہم دونوں دن کے اجلے بدن کی خوشبو ہم دونوں مدھر راگ پھیلا کر ہر سو ہم دونوں سر پر چڑھ کر بولتا جادو ہم دونوں خود بھی مہکیں اوروں کو بھی مہکائیں ایسے دشت ختن کے آہو ہم دونوں دنیا بھر میں جوگ جگانے کی خاطر در در بھٹکیں بن کر سادھو ہم دونوں درد بھرے جو دل رکھتے ہیں ان کے لئے پیار بھری آنکھوں کا آنسو ہم دونوں جس کا جی چاہے وہ خود کو مہکا لے شاخ حنا کے پھول کی خوشبو ہم دونوں کیوں نہ رہیں اسماؔ جی یوں آزادی سے پریت کے بندھن باندھ کے بندھو ہم دونوں
काली रात के रौशन जुगनू हम दोनों दिन के उजले बदन की ख़ुशबू हम दोनों मधुर राग फैला कर हर सू हम दोनों सर पर चढ़ कर बोलता जादू हम दोनों ख़ुद भी महकें औरों को भी महकाएँ ऐसे दश्त-ए-ख़ुतन के आहू हम दोनों दुनिया भर में जोग जगाने की ख़ातिर दर दर भटकें बन कर साधू हम दोनों दर्द भरे जो दिल रखते हैं उन के लिए प्यार भरी आँखों का आँसू हम दोनों जिस का जी चाहे वो ख़ुद को महका ले शाख़-ए-हिना के फूल की ख़ुशबू हम दोनों क्यों न रहें 'अस्मा' जी यूँ आज़ादी से प्रीत के बंधन बाँध के बन्धू हम दोनों
More by Asma Riyaz Asma
View all →"apne dushman ko to main aisi sazaa deti huun qatl karti nahin nazron se giraa deti huun be-adab log jo hote hain miri nazron mein un ko mahfil se nahin dil se uThaa deti huun zoam ho jis mein to narmi se nahin milti main talkh-goi se hi kamzor banaa deti huun rasm-e-ulfat ko nibhaane ke liye main aksar khud ko naa-karda gunaahon ki sazaa deti huun dil miraa yuun hi nahin hotaa hai 'asmaa' halkaa apni in aankhon se aansu jo bahaa deti huun"
More on Dil
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"