Quote
"dil kaa mu'aamla vahi mahshar vahi rahaa ab ke baras bhi raat kaa manzar vahi rahaa naumid ho gae to sabhi dost uTh gae vo said-e-intiqaam thaa dar par vahi rahaa saaraa hujum paa-piyaada chun-ki darmiyaan sirf ek hi savaar thaa rahbar vahi rahaa sab log sach hai baa-hunar the phir bhi kaamyaab ye kaisaa ittifaaq thaa aksar vahi rahaa ye irtiqaa kaa faiz thaa yaa mahz haadisa meinDak to fil-paa hue azhdar vahi rahaa sab ko huruf-e-iltijaa ham nazr kar chuke dushman to mom ho gae patthar vahi rahaa"
