SHAWORDS

khvaabon ki duniyaa phir se dikhlaa do ammaan — Asna Badr

HomeAsna BadrGhazal
"khvaabon ki duniyaa phir se dikhlaa do ammaan sone jaagne vaali guDiyaa laa do ammaan main duniyaa ki chaalaaki ko jaan na paaun mujh ko meraa bholaa-pan lauTaa do ammaan har chehre ke pichhe ik chehra dikhtaa hai dil ki aankhon se ye bhed chhupaa do ammaan duniyaa ko khush karte karte thak jaati huun honTon par sachchi muskaan sajaa do ammaan dhuup uge to koi phuul nahin khiltaa hai aangan ke in paudon ko ye sujhaa do ammaan jab tum ne ham sab ko ik hi lahu pilaayaa rang birange kyon hain ham batlaa do ammaan niind kahaan ki khvaabon se ab kaisaa rishta khaali lori de kar hi bahlaa do ammaan aankhon ke aainon mein dhundlaa-pan kyon hai bhule se hi dil ki baat bataa do ammaan"
Urdu

خوابوں کی دنیا پھر سے دکھلا دو اماں سونے جاگنے والی گڑیا لا دو اماں میں دنیا کی چالاکی کو جان نا پاؤں مجھ کو میرا بھولا پن لوٹا دو اماں ہر چہرے کے پیچھے اک چہرہ دکھتا ہے دل کی آنکھوں سے یہ بھید چھپا دو اماں دنیا کو خوش کرتے کرتے تھک جاتی ہوں ہونٹوں پر سچی مسکان سجا دو اماں دھوپ اگے تو کوئی پھول نہیں کھلتا ہے آنگن کے ان پودوں کو یہ سجھا دو اماں جب تم نے ہم سب کو اک ہی لہو پلایا رنگ برنگے کیوں ہیں ہم بتلا دو اماں نیند کہاں کی خوابوں سے اب کیسا رشتہ خالی لوری دے کر ہی بہلا دو اماں آنکھوں کے آئینوں میں دھندلا پن کیوں ہے بھولے سے ہی دل کی بات بتا دو اماں

Hindi

ख़्वाबों की दुनिया फिर से दिखला दो अम्माँ सोने जागने वाली गुड़िया ला दो अम्माँ मैं दुनिया की चालाकी को जान ना पाऊँ मुझ को मेरा भोला-पन लौटा दो अम्माँ हर चेहरे के पीछे इक चेहरा दिखता है दिल की आँखों से ये भेद छुपा दो अम्माँ दुनिया को ख़ुश करते करते थक जाती हूँ होंटों पर सच्ची मुस्कान सजा दो अम्माँ धूप उगे तो कोई फूल नहीं खिलता है आँगन के इन पौदों को ये सुझा दो अम्माँ जब तुम ने हम सब को इक ही लहू पिलाया रंग बिरंगे क्यों हैं हम बतला दो अम्माँ नींद कहाँ की ख़्वाबों से अब कैसा रिश्ता ख़ाली लोरी दे कर ही बहला दो अम्माँ आँखों के आईनों में धुँदला-पन क्यों है भूले से ही दिल की बात बता दो अम्माँ

ḳhvāboñ kī duniyā phir se dikhlā do ammāñ
Asna Badr
Asna Badr
Asna Badr
poet2 quotes

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil