Quote
"main TuuT kar use chaahun ye ikhtiyaar bhi ho sameT legaa mujhe is kaa e'tibaar bhi ho nai ruton mein vo kuchh aur bhi qarib aae gai ruton kaa sulagtaa saa intizaar bhi ho main us ke saath ko har lamha mo'tabar jaanun vo ham-safar hai to mujh saa hi be-dayaar bhi ho mire khulus kaa andaaz ye bhi sachchaa hai rakhkhun na rabt magar dosti shumaar bhi ho safar pe niklun to rasm-e-safar badal jaae kinaara baDh ke kabhi khud hi ham-kanaar bhi ho"
