SHAWORDS

kyaa muqaddar hai Thahre paani kaa — Mohammad Haneef Katib

"kyaa muqaddar hai Thahre paani kaa hukm aataa nahin ravaani kaa saaat-e-sabz mambaa-e-anvaar koi unvaan miri kahaani kaa koi patthar uchhaal kar dekho shor hogaa to hogaa paani kaa shor kartaa vajud-e-faani mein ek sannaaTaa laa-makaani kaa mahl thaa ek do the shahzaade ek raaja kaa ek raani kaa saahilon saahilon guzar jaaein koi mausam to ho ravaani kaa bazm-e-surat-garaan mein charchaa thaa ek tasvir-e-raaegaani kaa neza neza ubhar ke dekh liyaa ek dhokaa thaa kaamraani kaa saahilon par bachaa nahin kuchh bhi bas nishaan rah gayaa hai paani kaa"
Urdu

کیا مقدر ہے ٹھہرے پانی کا حکم آتا نہیں روانی کا ساعت سبز منبع انوار کوئی عنواں مری کہانی کا کوئی پتھر اچھال کر دیکھو شور ہوگا تو ہوگا پانی کا شور کرتا وجود فانی میں ایک سناٹا لا مکانی کا محل تھا ایک دو تھے شہزادے ایک راجہ کا ایک رانی کا ساحلوں ساحلوں گزر جائیں کوئی موسم تو ہو روانی کا بزم صورت گراں میں چرچا تھا ایک تصویر رائیگانی کا نیزہ نیزہ ابھر کے دیکھ لیا ایک دھوکا تھا کامرانی کا ساحلوں پر بچا نہیں کچھ بھی بس نشاں رہ گیا ہے پانی کا

Hindi

क्या मुक़द्दर है ठहरे पानी का हुक्म आता नहीं रवानी का साअत-ए-सब्ज़ मम्बा'-ए-अनवार कोई उनवाँ मिरी कहानी का कोई पत्थर उछाल कर देखो शोर होगा तो होगा पानी का शोर करता वजूद-ए-फ़ानी में एक सन्नाटा ला-मकानी का महल था एक दो थे शहज़ादे एक राजा का एक रानी का साहिलों साहिलों गुज़र जाएँ कोई मौसम तो हो रवानी का बज़्म-ए-सूरत-गराँ में चर्चा था एक तस्वीर-ए-राएगानी का नेज़ा नेज़ा उभर के देख लिया एक धोका था कामरानी का साहिलों पर बचा नहीं कुछ भी बस निशाँ रह गया है पानी का

kyā muqaddar hai Thahre paanī kā
M
Mohammad Haneef Katib
Mohammad Haneef Katib
poet13 quotes

More by Mohammad Haneef Katib

View all →
Quote
"silsile fikr-o-fan ke the hi nahin ham to is anjuman ke the hi nahin kaun apnaa hi ghar ujaaDtaa hai baaghbaan vo chaman ke the hi nahin kyon palaT kar idhar nahin dekhaa kyaa bulaave vatan ke the hi nahin mutmain the darun-e-shahr-e-panaah ham sipaahi to ran ke the hi nahin sab navishte to ham ne dekh liye vo havaale matan ke the hi nahin haae vo rabt-e-baahami ki fazaa faasle maa-o-man ke the hi nahin ab khulaa ham pe vo sabhi rishte tan ke the saare man ke the hi nahin"
M
Mohammad Haneef Katib
Quote
"raat bhar thaa main kisi khvaab mein gum mauj-dar-mauj thaa girdaab mein gum gahre paani kaa shanaavar thaa kabhi dekhnaa ab use paayaab mein gum vajd mein aauun to raqsaan sar-e-bazm aur kabhi khalvat-e-mehraab mein gum ek fariyaad gulu-basta rahi jaise naghma kisi mizraab mein gum dar-ba-dar honaa muqaddar Thahraa jab tavakkul huaa asbaab mein gum ham se hairat kaa safar tai na huaa ham ki the manzar-e-naayaab mein gum khushk hon aankhein to DhunDein tiraa aks tu kahaan jaa ke huaa aab mein gum"
M
Mohammad Haneef Katib
Quote
"saath vo aakhir-e-shab tak rahtaa chaand rahtaa bhi to kab tak rahtaa yaa chalaa aataa vahaan se uTh kar yaa vahin arz-e-talab tak rahtaa aise mahfil mein na hote badnaam muddaaa larzish-e-lab tak rahtaa us pe khul jaate junun ke asraar vo agar shor-o-shaghab tak rahtaa pesh-qadmi ki duaaein detaa ik nigahbaan aqab tak rahtaa pahli fursat mein nikal aanaa thaa main vahaan rahtaa to ab tak rahtaa us se aage kaa mujhe ilm na thaa kaash vo naam-o-nasab tak rahtaa tasht-az-baam na hotaa 'kaatib' raaz vo muhr-ba-lab tak rahtaa"
M
Mohammad Haneef Katib
Quote
"apni poshaak badalne ke liye aae hain ham tiri aag mein jalne ke liye aae hain kaun kahtaa hai sanbhalne ke liye aae hain ham to sarkaar machalne ke liye aae hain ham kahin aur se aae hain yahaan par vaise aur yaan se bhi nikalne ke liye aae hain vaadi-e-gul kaa pata puchhne aae hain yahaan aur yahaan phulne-phalne ke liye aae hain raat bhar ke liye mil jaae Thikaana ham ko khvaab hain aankh mein palne ke liye aae hain aaj ki raat alaav ke muqaabil honge aaj ki raat pighalne ke liye aae hain hai khabar garm ki kuchh sar-phire aabi dhaare regzaaron mein ubalne ke liye aae hain phir kisi yaad ke aangan ke chamakte jugnu meri aankhon mein machalne ke liye aae hain subh-dam un ki hai dahliz pe haazir honaa raat ke raat nikalne ke liye aae hain"
M
Mohammad Haneef Katib