SHAWORDS

machhliyaan jaal machhere dariyaa — Ashraf Yousafi

HomeAshraf YousafiGhazal
"machhliyaan jaal machhere dariyaa ye mire khvaab ye bahte dariyaa barf pighli tiri aahaT paa kar teri aavaaz pe jaage dariyaa ye ravaani nahin dekhi hogi tu ne dekhe hain bahut se dariyaa jis ne dekhi nahin aankhein teri vo kabhi shaam ko dekhe dariyaa kis ko kis paar utarnaa hai bataa is kahaani mein hain kitne dariyaa kashti-e-nuh mein baiThaa huun main kyaa pichhe tufaan hai aur aage dariyaa Dubne vaale bataate hi nahin kis qadar hote hain gahre dariyaa bastiyaan un ko bhi aati hain nazar itne andhe nahin hote dariyaa tu ne paayaab kiyaa hai mujh ko main huaa kartaa thaa pahle dariyaa tu nahin jaantaa paani ki kashish tu ne dekhe nahin aise dariyaa"
Urdu

مچھلیاں جال مچھیرے دریا یہ مرے خواب یہ بہتے دریا برف پگھلی تری آہٹ پا کر تیری آواز پہ جاگے دریا یہ روانی نہیں دیکھی ہوگی تو نے دیکھے ہیں بہت سے دریا جس نے دیکھی نہیں آنکھیں تیری وہ کبھی شام کو دیکھے دریا کس کو کس پار اترنا ہے بتا اس کہانی میں ہیں کتنے دریا کشتیٔ نوح میں بیٹھا ہوں میں کیا پیچھے طوفاں ہے اور آگے دریا ڈوبنے والے بتاتے ہی نہیں کس قدر ہوتے ہیں گہرے دریا بستیاں ان کو بھی آتی ہیں نظر اتنے اندھے نہیں ہوتے دریا تو نے پایاب کیا ہے مجھ کو میں ہوا کرتا تھا پہلے دریا تو نہیں جانتا پانی کی کشش تو نے دیکھے نہیں ایسے دریا

Hindi

मछलियाँ जाल मछेरे दरिया ये मिरे ख़्वाब ये बहते दरिया बर्फ़ पिघली तिरी आहट पा कर तेरी आवाज़ पे जागे दरिया ये रवानी नहीं देखी होगी तू ने देखे हैं बहुत से दरिया जिस ने देखी नहीं आँखें तेरी वो कभी शाम को देखे दरिया किस को किस पार उतरना है बता इस कहानी में हैं कितने दरिया कश्ती-ए-नूह में बैठा हूँ मैं क्या पीछे तूफ़ाँ है और आगे दरिया डूबने वाले बताते ही नहीं किस क़दर होते हैं गहरे दरिया बस्तियाँ उन को भी आती हैं नज़र इतने अंधे नहीं होते दरिया तू ने पायाब किया है मुझ को मैं हुआ करता था पहले दरिया तू नहीं जानता पानी की कशिश तू ने देखे नहीं ऐसे दरिया

machhliyāñ jaal machhere dariyā
Ashraf Yousafi
Ashraf Yousafi
Ashraf Yousafi
poet15 quotes

More by Ashraf Yousafi

View all →
Quote
"is zaat ke hisaar se niklungaa ek roz patthar haTaa ke ghaar se niklungaa ek roz andar ki ik sadaa kaa mujhe intizaar hai baahar ke intishaar se niklungaa ek roz shaakhon ke phailne se miraa qad nahin baDhaa malbus-e-barg-o-baar se niklungaa ek roz main bel ban ke tere dariche tak aaungaa peDon ki is qataar se niklungaa ek roz ye faasle to teri kashish kam na kar sake ab to tire madaar se niklungaa ek roz ik aks huun aur aansuon ke darmiyaan huun shoala huun aabshaar se niklungaa ek roz is sang-o-khisht se meri paivastagi hai aur niklaa bhi to vaqaar se niklungaa ek roz ik raushni kaa takht mujhe lene aaegaa zindaan-e-tang-o-taar se niklungaa ek roz"
Ashraf YousafiAshraf Yousafi
Quote
"taalluqaat mein yakh-bastagi paDi rahegi kahin ghubaar kahin dhund si paDi rahegi vo aaegaa use dekheinge dekhte raheinge kitaab aise khuli ki khuli paDi rahegi paDaa rahegaa koi khvaab ek phuul ke saath aur is ke saath ik tasvir bhi paDi rahegi kuchh ehtiyaat-e-taalluq ab is maqaam pe hai ki dil mein jo bhi girah paD gai paDi rahegi ye barf ab ke baras bhi agar nahin pighli hamaare biich paDi khaamushi paDi rahegi darun-e-zaat pe uDti rahegi gard-e-malaal dilon ki Dor yuun uljhi hui paDi rahegi shikan paDi hai jabin par to noch Daal ise vagarna der talak ye paDi paDi rahegi hamin na honge agar kal to husn-e-daad-talab chamak-damak ye tiri dilkashi paDi rahegi chalaa bhi jaaegaa uTh kar tu mere bistar par shikan shikan miri afsurdagi paDi rahegi paDe raheinge tire dar pe khasta-jaan tere hamaare baad bhi darmaandagi paDi rahegi"
Ashraf YousafiAshraf Yousafi
Quote
"chhan ke aati hai jo ye raushni darvaaze se kyaa mujhe dekh rahaa hai koi darvaaze se ghar ki takhti se milaa aaj mujhe apnaa pata apne hone ki gavaahi mili darvaaze se main ne dahliz se jaane ki ijaazat le li phir miri baat na tai ho saki darvaaze se ek rauzan mein paDi aankh se khulne lage hain ek divaar ke andar kai darvaaze se main ne is khvaab ko andar kahin mismaar kiyaa meri aavaaz na baahar gai darvaaze se raat bhar siskiyaan letaa hai koi shakhs yahaan kabhi divaar se lag kar kabhi darvaaze se khaali kamra miraa kis chaap se bhar jaataa hai aataa jaataa hi nahin jab koi darvaaze se ek khushbu ne qadam bhuul ke baahar rakkhaa phir gali aankh milaane lagi darvaaze se roz ik shahr-e-pur-asraar mein kho jaataa huun vahi galiyaan vahi raste vahi darvaaze se tu ne mahtaab nikalte hue dekhaa hai kabhi aur mahtaab bhi aise kisi darvaaze se"
Ashraf YousafiAshraf Yousafi
Quote
"ziist ke tajrabe ki baatein hain 'ishq mein sab pate ki baatein hain meri barbaadiyon ke hain qisse aur tire sochne ki baatein hain jaane kyaa kyaa utartaa hai dil par jaane kis kis samay ki baatein hain khaal-o-khad saaraa kuchh nahin kahte is mein kuchh aaine ki baatein hain tum chaloge to main bataaungaa ek do raaste ki baatein hain meraa nuqsaan hai saraasar dekh aur tire faaede ki baatein hain kyaa kabhi lauT kar bhi aae log ye tire bachpane ki baatein hain ham ne kaise kiyaa tujhe rukhsat ye baDe hausle ki baatein hain 'yusufi' se kabhi mile ho tum us ki baatein maze ki baatein hain"
Ashraf YousafiAshraf Yousafi
Quote
"raat aankhon mein guzri sapne bhiig gae baarish se khiDki ke shishe bhiig gae baarish ki bochhaaD to andar tak aai khushk tanon ke sab andaaze bhiig gae bhiig gae sab apni apni yaadon mein kuchh rote kuchh hanste hanste bhiig gae bhiig gae sab khat rakkhe almaari mein aur un mein sab likkhe vaade bhiig gae dekh diye ki lau tu ne to dekhe hain kitni aankhein kitne takiye bhiig gae baadal ke hamraah schōl se nikle the ghar tak aate aate baste bhiig gae uDte panchhi teri manzil duur hai kyaa dekh musaafir tere kapDe bhiig gae raat sitaare aangan aur udaas aankhein teri baatein karte karte bhiig gae baahar aa kar dekh ye manzar shahzaadi ham teri dahliz pe baiThe bhiig gae jaane kaise mausam ki ye baarish thi meri aankhein tere sapne bhiig gae jis basti mein dhuup saa ruup chamaktaa thaa us basti ke saare raste bhiig gae"
Ashraf YousafiAshraf Yousafi