SHAWORDS

munh phuul se rangin thaa va saari thi us hari — Faez Dehlvi

HomeFaez DehlviGhazal
"munh phuul se rangin thaa va saari thi us hari khatraani ek dekhi main panghaT pe jyuun pari chiri hain us ki urbasi rambhaa o raadhikaa parbhu ne phir banaai nahin vaisi dusri main ne kahaa ki ghar chalegi mere saath aaj kahne lagi ki ham suun na kar baat tu buri"
Urdu

منہ پھول سے رنگیں تھا و ساری تھی اس ہری کھترانی ایک دیکھی میں پنگھٹ پہ جوں پری چیری ہیں اس کی اربسی رمبھا و رادھکا پربھو نے پھر بنائی نہیں ویسی دوسری میں نے کہا کہ گھر چلے گی میرے ساتھ آج کہنے لگی کہ ہم سوں نہ کر بات تو بری

Hindi

मुँह फूल से रंगीं था व सारी थी उस हरी खतरानी एक देखी मैं पनघट पे ज्यूँ परी चीरी हैं उस की उर्बसी रम्भा ओ राधिका प्रभू ने फिर बनाई नहीं वैसी दूसरी मैं ने कहा कि घर चलेगी मेरे साथ आज कहने लगी कि हम सूँ न कर बात तू बुरी

muñh phuul se rañgīñ thā va saarī thī us harī
F
Faez Dehlvi
Faez Dehlvi
poet47 quotes

More by Faez Dehlvi

View all →
Quote
"dhuup saa yu kapul naari hai kiran suraj ki vo kanaari hai chhup raqibaan suun aanaa nahin vo chaand kyaa rain hijr ki andiyaari hai nahin asar kartaa sabr kaa marham dil-e-aashiq mein zakhm kaari hai gul-e-baagh-e-junun hai rusvaai izzat-e-mulk-e-ishq khvaari hai khun-e-dil baada-o-jigar hai kabaab naghma-e-bazm-e-vasl zaari hai lailaa majnun kaa zikr sard huaa ab tumhaari hamaari baari hai milnaa aashiq suun hi bahaane suun ye nasihat tuman hamaari hai mujh kuun mat jaano yaad suun ghaafil raat din dil kuun lau tumaari hai dil bandhaa sakht teri zulfaan par aql 'faaez' ki un bisaari hai"
F
Faez Dehlvi
Quote
"jaagir agar bahut na mili ham kuun gham nahin haasil hamaare mulk-e-qanaaat kaa kam nahin is saath mah-rukhaan ko nahin kuchh baraabari yusuf se ye nigaar-e-pari-zaad kam nahin khush-surataan se kyaa karun main aashnaai ab mujh ko to in dinon mein mayassar diram nahin dil baandhte nahin hain hamaare milaap par mah-talataan mein mujh ko to ab kuchh bharam nahin milte ho sab ke jaa ke ghar aur ham suun ho kanaar kuchh ham to un chakoron se ai maah kam nahin zaahir ke dost aate nahin kaam vaqt par talvaar kaaT kyaa kare jis ko jo dam nahin 'faaez' ko bhaayaa misra-e-'yakrang' ai sajan gar tum miloge un seti dekhoge ham nahin"
F
Faez Dehlvi
Quote
"mare dil biich naqsh-e-naaznin hai magar ye dil nahin yaaro nagin hai kamar par teri us kaa dil huaa mahv tiraa aashiq bahut baarik-bin hai jo kahiye us ke haq mein kam hai be-shak pari hai huur hai ruh-ul-amin hai ghulaam us ke hain saare ab sirijan nagar mein husn ke kursi-nashin hai nahin ab jag mein vaisaa aur pitam sabi khush-surataan suun naaznin hai mujhe hai moshgaafi mein mahaarat jo nit dil mahv khatt-e-ambarin hai nazar kar lutf ki ai shaah-e-khubaan tiraa 'faaez' ghulaam-e-kam-tarin hai"
F
Faez Dehlvi