SHAWORDS

nigaah-e-naaz mein hayaa bhi hai — Aziz Hyderabadi

"nigaah-e-naaz mein hayaa bhi hai is banaavaT ki intihaa bhi hai be-sar-o-paa nahin hai ye duniyaa ibtidaa bhi hai intihaa bhi hai shab-e-furqat mein kyaa kare koi kuchh andhere mein sujhtaa bhi hai meri ik musht-e-khaak ke pichhe baad-e-sarsar bhi hai sabaa bhi hai bazm-e-rindaan mein rind bhi hai 'aziz' paarsaaon mein paarsaa bhi hai"
Urdu

نگاہ ناز میں حیا بھی ہے اس بناوٹ کی انتہا بھی ہے بے سر و پا نہیں ہے یہ دنیا ابتدا بھی ہے انتہا بھی ہے شب فرقت میں کیا کرے کوئی کچھ اندھیرے میں سوجھتا بھی ہے میری اک مشت خاک کے پیچھے باد صرصر بھی ہے صبا بھی ہے بزم رنداں میں رند بھی ہے عزیزؔ پارساؤں میں پارسا بھی ہے

Hindi

निगाह-ए-नाज़ में हया भी है इस बनावट की इंतिहा भी है बे-सर-ओ-पा नहीं है ये दुनिया इब्तिदा भी है इंतिहा भी है शब-ए-फ़ुर्क़त में क्या करे कोई कुछ अँधेरे में सूझता भी है मेरी इक मुश्त-ए-ख़ाक के पीछे बाद-ए-सरसर भी है सबा भी है बज़्म-ए-रिंदाँ में रिंद भी है 'अज़ीज़' पारसाओं में पारसा भी है

nigāh-e-nāz meñ hayā bhī hai
Aziz Hyderabadi
Aziz Hyderabadi
Aziz Hyderabadi
poet43 quotes

More by Aziz Hyderabadi

View all →
Quote
"baDh gaiin gustaakhiyaan meri sazaa ke saath saath pyaar aataa hai tiri jaur-o-jafaa ke saath saath zoaf se raah-e-mohabbat mein qadam uThte nahin paanv jamte hain zamin par naqsh-e-paa ke saath saath chhuT kar kunj-e-qafas se nikhat-e-gul ki tarah ham bhi uD kar jaaeinge baad-e-sabaa ke saath saath sard aahon se phunkaa jaataa hai siine mein jigar aatish-e-gham tez hoti hai havaa ke saath saath mere aansu bhi bahe josh-e-mohabbat mein 'aziz' mere naale bhi rahe meri duaa ke saath saath"
Aziz HyderabadiAziz Hyderabadi