SHAWORDS

paagal kaise ho jaate hain — Ali Zaryoun

HomeAli ZaryounGhazal
"paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain khvaabon kaa dhandaa karti ho kitne paise ho jaate hain mere kaam khudaa kartaa hai tere vaise ho jaate hain duniyaa saa honaa mushkil hai tere jaise ho jaate hain"
Urdu

پاگل کیسے ہو جاتے ہیں دیکھو ایسے ہو جاتے ہیں خوابوں کا دھندا کرتی ہو کتنے پیسے ہو جاتے ہیں میرے کام خدا کرتا ہے تیرے ویسے ہو جاتے ہیں دنیا سا ہونا مشکل ہے تیرے جیسے ہو جاتے ہیں

Hindi

पागल कैसे हो जाते हैं देखो ऐसे हो जाते हैं ख़्वाबों का धंदा करती हो कितने पैसे हो जाते हैं मेरे काम ख़ुदा करता है तेरे वैसे हो जाते हैं दुनिया सा होना मुश्किल है तेरे जैसे हो जाते हैं

pāgal kaise ho jaate haiñ
Ali Zaryoun
Ali Zaryoun
Ali Zaryoun
poet34 quotes

More by Ali Zaryoun

View all →
Quote
"sukut-e-shaam kaa hissa tu mat banaa mujh ko main rang huun so kisi mauj mein milaa mujh ko main in dinon tiri aankhon ke ikhtiyaar mein huun jamaal-e-sabz kisi tajrabe mein laa mujh ko main buDhe jism ki zillat uThaa nahin saktaa kisi qadim tajalli se kar nayaa mujh ko main apne hone ki takmil chaahtaa huun sakhi so ab badan ki hiraasat se kar rihaa mujh ko mujhe charaagh ki hairat bhi ho chuki maa'lum ab is se aage koi raasta bataa mujh ko us ism-e-khaas ki tarkib se banaa huun main mohabbaton ke talaffuz se kar nayaa mujh ko darun-e-sina jise dil samajh rahaa thaa 'ali' vo niili aag hai ye ab pataa chalaa mujh ko"
Ali ZaryounAli Zaryoun
Quote
"zan-e-hasin thi aur phuul chun ke laati thi main she'r kahtaa thaa vo daastaan sunaati thi ye phuul dekh rahe ho ye us kaa lahja thaa ye jhiil dekh rahe ho yahaan vo aati thi munaafiqon ko miraa naam zahr lagtaa thaa vo jaan-bujh ke ghussa unhein dilaati thi 'arab lahu thaa ragon mein badan sunahraa thaa vo muskuraati nahin thi diye jalaati thi use kisi se mohabbat thi aur vo main nahin thaa ye baat mujh se ziyaada use rulaati thi main us ke baa'd kabhi Thiik se nahin jaagaa vo mujh ko khvaab nahin niind se jagaati thi 'ali' ye log tumhein jaante nahin hain abhi gale lagaa ke miraa hausla baDhaati thi 'ali' se duur raho log us se kahte the vo meraa sach hai bahut chikh kar bataati thi main kuchh bataa nahin saktaa vo meraa kyaa thi 'ali' ki us ko dekh ke bas apni yaad aati thi"
Ali ZaryounAli Zaryoun
Quote
"tere aage sar-kashi dikhlaaungaa? tu to jo kah de vahi ban jaaungaa ai zaburi phuul ai niile gulaab mat khafaa ho main dobaara aaungaa saat sadiyaan saat raatein saat din ik paheli hai kise samjhaaungaa yaar ho jaae sahi tujh se mujhe tere qabze se tujhe chhuDvaaungaa tum bahut maasum laDki ho tumhein nazm bhejungaa duaa pahnaaungaa koi dariyaa hai na jangal aur na baagh main yahaan bilkul nahin rah paaungaa yaad karvaaugaa tujh ko tere zakhm teri saari neamatein ginvaaungaa chhoDnaa us ke liye mushkil na ho mujh se mat kahnaa main ye kar jaaungaa main 'ali'-zaryun huun kaafi hai ye main zafar-iqbaal kyuun ban jaaungaa"
Ali ZaryounAli Zaryoun
Quote
"main jab vajud ke hairat-kade se mil rahaa thaa mujhe lagaa main kisi moajize se mil rahaa thaa main jaagtaa thaa ki jab log so chuke the tamaam charaagh mujh se mire tajrabe se mil rahaa thaa havas se hotaa huaa aa gayaa main 'ishq ki samt ye silsila bhi usi raaste se mil rahaa thaa khudaa se pahli mulaaqaat ho rahi thi miri main apne aap ko jab saamne se mil rahaa thaa ‘ajib lai thi jo taasir de rahi thi mujhe ‘ajib lams thaa har zaaviye se mil rahaa thaa main us ke sina-e-shaffaaf ki hari lau se dahak rahaa thaa so puure maze se mil rahaa thaa savaab-o-taaat-o-taqvaa fazilat-o-alqaab paDe hue the kahin main nashe se mil rahaa thaa tire jamaal kaa bujhnaa to laazmi thaa ki tu baghair 'ishq kiye aaine se mil rahaa thaa zamin bhi mire aaghosh-e-surkh mein thi 'ali' falak bhi mujh se hare zaaiqe se mil rahaa thaa"
Ali ZaryounAli Zaryoun