"pas-e-nazzaara koi lahr si thi paani tak kyaa tamaashaa thaa na thi aankh mein hairaani tak safar itnaa thaa kaThin lauT bil-aakhir aae baDi mushkil se chale raah-e-tan-aasaani tak dhajjiyaan jism se utri hain abhi khair manaao tan se utregaa yahaan jaama-e-uryaani tak kisi anjaan chamak ke hain dil-o-chashm asiir silsila ek saa hai aaine se paani tak sar-o-saamaan koi us raah se kyunkar le jaae chhoD aae hain jahaan be-sar-o-saamaani tak aur phir itnaa chale paanv mein taaqat na rahi do qadam the miri daanaai se naadaani tak"
pas-e-shaam-e-alam kisi mahr-e-nigaah ko dekhte the — Mohammad Khalid
"pas-e-shaam-e-alam kisi mahr-e-nigaah ko dekhte the vo log kahaan mire haal-e-tabaah ko dekhte the jis din sailaab-e-balaa aayaa thaa raahon mein ham bhi sar-e-raah hazimat-e-kaah ko dekhte the ye log jo aaj hue phir saahab-e-mansab-o-jaah ye log kahaan kisi mansab-o-jaah ko dekhte the ik jashn-e-masarrat pesh-e-bahir thaa us din bhi sab saakit ho ke shikoh-e-sipaah ko dekhte the mire shaah ki aankhein pathraai hui lagti thiin aur dekhne vaale auj-e-kulaah ko dekhte the aankhon mein ujaalaa phail gayaa thaa 'yusuf' kaa ham chaah ko dekhte the kabhi raah ko dekhte the"
پس شام الم کسی مہر نگاہ کو دیکھتے تھے وہ لوگ کہاں مرے حال تباہ کو دیکھتے تھے جس دن سیلاب بلا آیا تھا راہوں میں ہم بھی سر راہ ہزیمت کاہ کو دیکھتے تھے یہ لوگ جو آج ہوئے پھر صاحب منصب و جاہ یہ لوگ کہاں کسی منصب و جاہ کو دیکھتے تھے اک جشن مسرت پیش بہیر تھا اس دن بھی سب ساکت ہو کے شکوہ سپاہ کو دیکھتے تھے مرے شاہ کی آنکھیں پتھرائی ہوئی لگتی تھیں اور دیکھنے والے اوج کلاہ کو دیکھتے تھے آنکھوں میں اجالا پھیل گیا تھا یوسفؔ کا ہم چاہ کو دیکھتے تھے کبھی راہ کو دیکھتے تھے
पस-ए-शाम-ए-अलम किसी महर-ए-निगाह को देखते थे वो लोग कहाँ मिरे हाल-ए-तबाह को देखते थे जिस दिन सैलाब-ए-बला आया था राहों में हम भी सर-ए-राह हज़ीमत-ए-काह को देखते थे ये लोग जो आज हुए फिर साहब-ए-मंसब-ओ-जाह ये लोग कहाँ किसी मंसब-ओ-जाह को देखते थे इक जश्न-ए-मसर्रत पेश-ए-बहीर था उस दिन भी सब साकित हो के शिकोह-ए-सिपाह को देखते थे मिरे शाह की आँखें पथराई हुई लगती थीं और देखने वाले औज-ए-कुलाह को देखते थे आँखों में उजाला फैल गया था 'यूसुफ़' का हम चाह को देखते थे कभी राह को देखते थे

More by Mohammad Khalid
View all →"ye paimaana sharaab-e-tez se bharne nahin deti koi shai zindagi mein hai vahi marne nahin deti ajab kuchh mutmain rakhti hai ham ko bekali dil ki havaa-e-hijr ki yurish se bhi Darne nahin deti havaa-e-barshgaal aakhir khush aati hai hamein lekin jo ham ne kaam karnaa hai vahi karne nahin deti bhaDakti hai junun ki aag agar koh-o-bayaabaan mein koi tohmat havaa-e-shahr pe dharne nahin deti liye jaati hai nakhl-e-aarzu tak zindagi 'khaalid' magar daaman ataa-e-nakhl se bharne nahin deti"
"varaa-e-lutf koi ibtilaa nikalnaa thaa ye silsila bhi bahut duur jaa nikalnaa thaa abhi qubul na thiin ye inaayatein ham ko abhi dilon se gham-e-muddaaa nikalnaa thaa sivaae khastagi kuchh pesh-e-kaasa-e-zar-khvaah hamaare kisa-e-khaali se kyaa nikalnaa thaa safar to ek sitaara-ghamin thaa varna hamein kisi savaad-e-masarrat mein jaa nikalnaa thaa ajiib manzil-e-bechaargi thi manzil-e-jaan yahin se jaada-e-bim-o-rajaa nikalnaa thaa jabin pe naqsh-e-khudaai ubharte jaate the dilon se yuun to na khauf-e-khudaa nikalnaa thaa"
"fasl jo chaahein kaaTnaa bo bhi nahin sakte aur ye lamhe raaegaan kho bhi nahin sakte ab to hansi aa jaati hai jab ho ye dhyaan ki ham rone vaali baat par ro bhi nahin sakte khvaabon ke sab qaafile din ke safar par hain shab ko lambi taan kar so bhi nahin sakte dil se aakhir dho chalein gard-e-kudurat kyuun jab ham teraa aaina ho bhi nahin sakte koi hamein pahchaan le yuun to mushkil hai lekin ham is bhiiD mein kho bhi nahin sakte us ke karam ki baarishein yuun to barasti hain daagh kuchh aise hain ki ham dho bhi nahin sakte"
"DhunD leti hain koi mahtaab saa manzar kahin jaagti rahti hain aankhein khvaab ke andar kahin Daal lete hain bhalaa zanjir-e-ishrat paanv mein taan kar chalte hain sar par dard ki chaadar kahin is khayaal-e-naaz mein hotaa hai shab bhar jaagnaa ek kaif-e-hijr mein hogaa miraa bistar kahin dil ke andar chupke chupke jaagti hai be-kali shor karti hain havaaein jism ke baahar kahin aankh mein bedaariyon ki dhuul girti jaaegi aasmaan sar par uThaaeinge mah-o-akhtar kahin har sadaa-e-naghma hai aavaaza-e-mahshar mujhe dil laraztaa hai badal jaae na ye manzar kahin"
"khul gayaa na ho kisi aur taraf baab miraa kahin aavaara-e-ghurbat hi na ho khvaab miraa khitta-e-khaak mein kuchh khaak pe tohmat meri sar-e-aflaak koi khema-e-maahtaab miraa dil-e-aavaara kahin chashm kahin khvaab kahin kaisaa bikhraa dar-e-aafaaq pe asbaab miraa khvaahish-e-jaan bhi laraz jaati hai har ashk ke saath meri miTTi ko bhi le jaae na sailaab miraa dil kahaan aur kahaan shorish-e-paiham dil ki kis tamannaa mein ravaan hai tan-e-betaab miraa"