SHAWORDS

qurbaton mein faasle kuchh aur hain — Fatima Hasan

HomeFatima HasanGhazal
"qurbaton mein faasle kuchh aur hain khvaahishon ke zaaviye kuchh aur hain sun rahe hain kaan jo kahte hain sab log lekin sochte kuchh aur hain rahbari ab shart-e-manzil kab rahi aao DhunDein raaste kuchh aur hain ye to ik basti thake logon ki hai raah mein jo luT gae kuchh aur hain mil rahe hain garche pahle ki tarah vo magar ab chaahte kuchh aur hain"
Urdu

قربتوں میں فاصلے کچھ اور ہیں خواہشوں کے زاویے کچھ اور ہیں سن رہے ہیں کان جو کہتے ہیں سب لوگ لیکن سوچتے کچھ اور ہیں رہبری اب شرط منزل کب رہی آؤ ڈھونڈیں راستے کچھ اور ہیں یہ تو اک بستی تھکے لوگوں کی ہے راہ میں جو لٹ گئے کچھ اور ہیں مل رہے ہیں گرچہ پہلے کی طرح وہ مگر اب چاہتے کچھ اور ہیں

Hindi

क़ुर्बतों में फ़ासले कुछ और हैं ख़्वाहिशों के ज़ाविए कुछ और हैं सुन रहे हैं कान जो कहते हैं सब लोग लेकिन सोचते कुछ और हैं रहबरी अब शर्त-ए-मंज़िल कब रही आओ ढूँडें रास्ते कुछ और हैं ये तो इक बस्ती थके लोगों की है राह में जो लुट गए कुछ और हैं मिल रहे हैं गरचे पहले की तरह वो मगर अब चाहते कुछ और हैं

qurbatoñ meñ fāsle kuchh aur haiñ
Fatima Hasan
Fatima Hasan
Fatima Hasan
poet47 quotes

More by Fatima Hasan

View all →
Quote
"miri zamin pe lagi aap ke nagar mein lagi lagi hai aag jahaan bhi kisi ke ghar mein lagi ajiib raqs ki vahshat ki taal hai jis mein ajiib taal jo aaseb ke asar mein lagi kivaaD band kahaan muntazir the aahaT ke lagi jo der to dahliz tak safar mein lagi tamaam khvaab the vaabasta us ke hone se so meri aankh bhi bas saaya-e-shajar mein lagi hisaar-e-zaat nahin thaa tilism-e-ishq thaa vo khabar hui to magar der is khabar mein lagi dahakte rang the jo aasmaan chhute the khile the phuul ki ik aag si shajar mein lagi adhure lafz the aavaaz ghair-vaazeh thi duaa ko phir bhi nahin der kuchh asar mein lagi palaT ke dekhaa to bas hijratein thiin daaman mein agarche umr yahaan ik guzar-basar mein lagi parind lauT kar aae the kin zaminon se kahaan ki dhuul thi jo un ke baal-o-par mein lagi"
Fatima HasanFatima Hasan
Quote
"jin khvaahishon ko dekhti rahti thi khvaab mein ab likh rahi huun un ko haqiqat ke baab mein ik jhiil ke kinaare parindon ke darmiyaan suraj ko hote dekhaa thaa tahlil aab mein khvaabon pe ikhtiyaar na yaadon pe zor hai kab zindagi guzaari hai apne hisaab mein ik haath us kaa jaal pe patvaar ek mein aur Dubtaa vajud miraa sail-e-aab mein purvaai chal ke aur bhi vahshat baDhaa gai halki si aa gai thi kami iztiraab mein aazaad hain to baagh kaa mausam hi aur hai khushbu hai tez rang bhi gahraa gulaab mein apni zamin ki aab-o-havaa raas hai mujhe mere liye kashish nahin koi saraab mein dekho junun mein un ke khilaune na toDnaa tum ko raqam kareinge ye bachche kitaab mein"
Fatima HasanFatima Hasan
Quote
"vafaa-sarisht huun duuri mein bhi mohabbat hai akele rahne mein lekin baDi aziyyat hai ye jaagti hai to phir der tak jagaati hai mire vajud mein soi hui jo vahshat hai jahaan pe ishq ki sarhad junun se milti hai vahaan pe aa ke mile vo agar mohabbat hai bahut hain khvaab magar khvaab hi se kyaa hogaa hamaare biich jo haail hai vo haqiqat hai vo daur aayaa ki vo bhi gharon ko chhoD gae jo sochte the ki ab mustaqil sukunat hai samajh rahi thi main apne qayaam ko manzil khabar nahin thi ki aage bhi ek hijrat hai bahut se log dilon mein chhupaae baiThe hain ye 'faatima' hi nahin hai jise shikaayat hai"
Fatima HasanFatima Hasan
Quote
"kaho to naam main de duun ise mohabbat kaa jo ik alaav hai jalti hui rifaaqat kaa jise bhi dekho chalaa jaa rahaa hai tezi se agarche kaam yahaan kuchh nahin hai ujlat kaa dikhaai detaa hai jo kuchh kahin vo khvaab na ho jo sun rahi huun vo dhokaa na ho samaaat kaa yaqin karne lage log rut badalti hai magar ye sach bhi karishma na ho khitaabat kaa sanvaarti rahi ghar ko magar ye bhuul gai ki mukhtasar hai ye arsa yahaan sukunat kaa chalo ki is mein bhi ik-aadh kaam kar Daalein jo mil gayaa hai ye lamha zaraa si mohlat kaa"
Fatima HasanFatima Hasan