SHAWORDS

saans-dar-saans mujhe mushk-e-khutan kartaa hai — Amir Hamza Saqib

"saans-dar-saans mujhe mushk-e-khutan kartaa hai naafaa-e-lams ki tahrir-e-badan kartaa hai varna ham sust-tab’ dasht-navardi karte ye karishma tiraa be-saakhta-pan kartaa hai haan vahi bhartaa hai siine mein dhuaan aahon kaa meri miTTi ko jo khushbu-e-saman kartaa hai kaf uDaati hai ik an-dekhe jazire ki talab ik bhanvar paanv mein rahne ke jatan kartaa hai rang-o-nikhat ke nae raaz khulaa karte hain jab kabhi jaan-e-sukhan mujh se sukhan kartaa hai"
Urdu

سانس در سانس مجھے مشک ختن کرتا ہے نافۂ لمس کہ تحریر بدن کرتا ہے ورنہ ہم سست طبع دشت نوردی کرتے یہ کرشمہ ترا بے ساختہ پن کرتا ہے ہاں وہی بھرتا ہے سینے میں دھواں آہوں کا میری مٹی کو جو خوشبوئے سمن کرتا ہے کف اڑاتی ہے اک ان دیکھے جزیرے کی طلب اک بھنور پاؤں میں رہنے کے جتن کرتا ہے رنگ و نکہت کے نئے راز کھلا کرتے ہیں جب کبھی جان سخن مجھ سے سخن کرتا ہے

Hindi

साँस-दर-साँस मुझे मुश्क-ए-ख़ुतन करता है नाफ़ा-ए-लम्स कि तहरीर-ए-बदन करता है वर्ना हम सुस्त-तब' दश्त-नवर्दी करते ये करिश्मा तिरा बे-साख़्ता-पन करता है हाँ वही भरता है सीने में धुआँ आहों का मेरी मिट्टी को जो ख़ुश्बू-ए-समन करता है कफ़ उड़ाती है इक अन-देखे जज़ीरे की तलब इक भँवर पाँव में रहने के जतन करता है रंग-ओ-निकहत के नए राज़ खुला करते हैं जब कभी जान-ए-सुख़न मुझ से सुख़न करता है

sāñs-dar-sāñs mujhe mushk-e-ḳhutan kartā hai
Amir Hamza Saqib
Amir Hamza Saqib
Amir Hamza Saqib
poet106 quotes

More by Amir Hamza Saqib

View all →
Quote
"pahra paani pe hai aur ju-e-sitam jaari hai zakhm-khurda hain magar jang kahaan haari hai mujh se puchhaa na karo shaghl-e-junun ki baabat tum se fursat hai miri jaan so bekaari hai tu idhar kaise nikal aai hai duniyaa-daari jazba-e-shauq ki is samt 'amal-daari hai gardish-e-shaam-o-sahar se bhi koi farq paDaa daaera-vaar mujhe teri hi didaari hai lazzatein zahr-bujhaa tiir hui jaati hain kyaa miri ruh-e-badan jism se inkaari hai aarzu hoti hai rukhsat kisi dulhan ki tarah jashn-e-shaadi bhi 'ajab rasm-e-‘azaa-daari hai"
Amir Hamza SaqibAmir Hamza Saqib
Quote
"dilon ki tarh ragon mein lahu dhaDaktaa hai ki aabla hai mohabbat kaa jo tapaktaa hai rahe kahin bhi kahin duur mujh se tu chhup jaae mire khayaalon mein chehra tiraa damaktaa hai ye jism-o-ruh ki gahraaiyon mein utregaa ye dard vo nahin aankhon se jo chhalaktaa hai gunaahgaar na ban dil mire khudaa ke liye khayaal-e-yaar kaa daaman koi jhaTaktaa hai siyaah ho gae sab sabz-o-tar mire din raat vo chaand chhat pe kisi aur ki chamaktaa hai tumhaaraa lutf-o-karam ham faqir logon par kisi gharib ki chhat ki tarah Tapaktaa hai"
Amir Hamza SaqibAmir Hamza Saqib
Quote
"badan ke daf par lahu bahaa le de raft raftan thirak rahaa hai ye kaun naddaaf andar andar tamaam ruui dhunak rahaa hai ham apne ruyaa-e-'ishq saare jalaa ke khaashaak kar to deinge magar vo ik khvaab jo musalsal hamaari aankhon ko tak rahaa hai farishte ujle paron se sar-sabz fasl-e-rahmat bikherte hain gharib dahqaan hikaayaton se zamin ke daaghon ko Dhak rahaa hai main apni tanhaaiyon ke raagon mein apni vahshat ko Dhaaltaa huun ye meri saanson ke zer-o-bam mein tumhaaraa dil kyon dhaDak rahaa hai azal abad hast-o-bud main tu sab ik ikaai mein Dhal rahe hain nazar pe thaa manzaron kaa parda so ab ye parda sarak rahaa hai"
Amir Hamza SaqibAmir Hamza Saqib
Quote
"barpaa kisi din mahfil-e-tanhaai kareinge aao to shab-e-hijr ki bharpaai kareinge ham vo tire hushyaar ki aap apne hi haathon apni hi gali apni hi rusvaai kareinge kyon she'r sunaane pe miri jaan musir ho ham log to zakhmon ki paziraai kareinge paani pe chaleinge kabhi taireinge fazaa mein mumkin nahin jo kuchh tire saudaai kareinge neza liye nikle hain to kyon khauf-zada ho sarkaar ba-har-haal masihaai kareinge roeinge hamein shahr ke hangaame divaano jangal mein agar anjuman-aaraai kareinge aa jaao ki sinon ke diye bujhne lage hain aa jaao kahaan tak nafas-aaraai kareinge"
Amir Hamza SaqibAmir Hamza Saqib