SHAWORDS

saanson ko karb ziist gham-e-be-panaah ko — Hamdoon Usmani

HomeHamdoon UsmaniGhazal
"saanson ko karb ziist gham-e-be-panaah ko kis kis ko mutmain main karun khvaah-makhvaah ko suraj ke paar dekh sako gar miri tarah tab jaa ke paaoge miri hadd-e-nigaah ko main is fareb-gah mein vo aadam-gazida huun DhunDe hai jo andheron mein jaa-e-panaah ko apnaa na main huaa to bhalaa kaun hai miraa apnaae kyuun koi kisi gum-karda-raah ko main haadson ki bhiiD mein tanhaa khaDaa huaa aavaaz de rahaa huun kisi khair-khvaah ko saaya bhi ham-qadam na miraa ho isi liye khaatir mein laayaa main na kisi intibaah ko"
Urdu

سانسوں کو کرب زیست غم بے پناہ کو کس کس کو مطمئن میں کروں خواہ مخواہ کو سورج کے پار دیکھ سکو گر مری طرح تب جا کے پاؤ گے مری حد نگاہ کو میں اس فریب گہہ میں وہ آدم گزیدہ ہوں ڈھونڈے ہے جو اندھیروں میں جائے پناہ کو اپنا نہ میں ہوا تو بھلا کون ہے مرا اپنائے کیوں کوئی کسی گم کردہ راہ کو میں حادثوں کی بھیڑ میں تنہا کھڑا ہوا آواز دے رہا ہوں کسی خیر خواہ کو سایہ بھی ہم قدم نہ مرا ہو اسی لیے خاطر میں لایا میں نہ کسی انتباہ کو

Hindi

साँसों को कर्ब ज़ीस्त ग़म-ए-बे-पनाह को किस किस को मुतमइन मैं करूँ ख़्वाह-मख़ाह को सूरज के पार देख सको गर मिरी तरह तब जा के पाओगे मिरी हद्द-ए-निगाह को मैं इस फ़रेब-गह में वो आदम-गज़ीदा हूँ ढूँडे है जो अंधेरों में जा-ए-पनाह को अपना न मैं हुआ तो भला कौन है मिरा अपनाए क्यूँ कोई किसी गुम-कर्दा-राह को मैं हादसों की भीड़ में तन्हा खड़ा हुआ आवाज़ दे रहा हूँ किसी ख़ैर-ख़्वाह को साया भी हम-क़दम न मिरा हो इसी लिए ख़ातिर में लाया मैं न किसी इंतिबाह को

sāñsoñ ko karb ziist ġham-e-be-panāh ko
H
Hamdoon Usmani
Hamdoon Usmani
poet9 quotes

More by Hamdoon Usmani

View all →
Quote
"main huun aur mashghala-e-jaama-dari hai yaahu kaif-dar-kaif 'ajab be-khabari hai yaa-hu har taraf sahar-e-nafi khauf-e-abad taari hai jaan levaa ye baligh-un-nazari hai yaahu hast-dar-hast hijaabaat ke sahraa Thahre kyaa ye tashrih-e-maqaam-e-bashri hai yaahu puuri quvvat se na kyuun dauDun abad ki jaanib ziist ik aalam-e-afraatafri hai yaahu ik sanvartaa huaa lamha to kahin mil jaataa dekh chehre pe mire dar-ba-dari hai yaahu in-o-aan jab mere purkaar ki gardish ke asiir phir ye kyuun kis liye daryuza-gari hai yaahu mere afkaar hain iblaagh-gazida to kyaa ek nae taur ki ye dida-vari hai yaahu"
H
Hamdoon Usmani
Quote
"ik mujassam dard huun ik aah huun phir bhi zeb-o-zinat-e-afvaah huun main ne duniyaa ki pasand oDhi nahin kuchh bhi huun phir bhi to haq-aagaah huun sadd-e-lahm-o-ustukhvaan hote hue har nafas ab bhi tire hamraah huun karb vahshat gham masaail ke tufail aaj tak zinda ba-hamdillaah huun mere naqsh-e-paa se nikle raaste log phir bhi kahte hain gumraah huun parvarish paati hai jis se tirgi main vahi farzand-e-mehr-o-maah huun mai-kade ki rah se tujh ko paa liyaa log kahte hain ki main gumraah huun"
H
Hamdoon Usmani
Quote
"nochti hain mujhe karb ki chyunTiyaan saaqiyaa saaqiyaa talkhiyaan talkhiyaan main kahaan aa gayaa har taraf hai yahaan bad-gumaan saaaton kaa bhayaanak dhuaan hain ye anfaas yaa hai papihe ki raT pheink aauun samaaat ko jaa kar kahaan ek lamha azal ek lamha abad sirf do saaaton ki hai ye daastaan main vo izaa-kash-e-fikr huun aaj tak jo uDaataa rahaa apni hi dhajjiyaan sab dalilein hain makkaar chehre paDho jin pe hone ki jhunjhlaahaTein hain ayaan mil gai mujh ko ThanDi nadaamat shikast kaash mil jaae ab manzil-e-raaegaan jism ki unchi divaar aa phaand kar kuchh to kaamil karein qissa-e-khun-chakaan jab bhi chaahaa koi nazm us par likhun khud-ba-khud thartharaane lagin ungliyaan ab hai ye haal tanhaai khud chikhe hai al-hafiz al-hafiz al-amaan al-amaan main samundar se apne taqaabul mein gum chand bachche the chunte rahe sipiyaan shaadi 'hamdun' hai qurbaton ki jazaa har qadam haadse har nafas imtihaan"
H
Hamdoon Usmani
Quote
"is daur mein jiine kaa sabab kis se kahein kyaa ye sochnaa paDtaa hai ki kab kis se kahein kyaa targhib-e-khud-izaai to un honTon ne di thi kyuun phunk di duniyaa-e-tarab kis se kahein kyaa har koi to apne ko yahaan bech rahaa hai phailaaein kahaan dast-e-talab kis se kahein kyaa din shaklon ke sailaab mein bah jaataa hai lekin mere liye kyaa laati hai shab kis se kahein kyaa bas karb ki chaadar mire tan se na haTaanaa baaqi nahin kuchh kahne ko ab kis se kahein kyaa is bazm-e-alaaeq mein na saamea hai na baasir har samt hai ik shor-o-shaghab kis se kahein kyaa be-kaar taqaazaa-e-vafaa karnaa hai 'hamdun' ab ho bhi chuke jaan-ba-lab kis se kahein kyaa"
H
Hamdoon Usmani